Sunday 31 July 2011

Mere Khayaal



Aao mere khayalo tumse kuchh baaten kar loon
apne kuchh to kaam adhoore, poore kar lun..

main hoon tanha, tum bhi ho ,chalo sab milte hain
kahin door aaj jahaan bhi bolo, hum milte hain
tum hi bolo shuru karo kuch, ya main karlun

aao mere khyalo........kuchh baaten karlun

din hai mera raat tumhari, wo saari saugaat tumhari
dhalte dhalte dhal jayegi ye umar bhi saari
jaane se pehle main apna kuchh naam to karlun


aao mere khyalo......kuchh baaten karlun

main na badla, tum bhi na badle, waqt hai badla
kabhi saath raha kabhi door raha, har shaqs hai badla
aao in sab logon ke main chahre padhlun...

aao mere khyalo....kuchh baaten karlun..

jeena kya hai marna kya hai, sab karte hain
kabhi aise to kabhi waise, haan sab marte hain
tumko main in dharkano mein zinda rakhlun

aao mere khyalo....kuchh baaten karlun

Wednesday 13 July 2011

No Smoking



Kharida, jalaaya, piya aur bujhaya
peete hi saara jahaan bhulaya
kuchh nahin hai khaas ismen
bas zor se kheecha aur dhuan udaaya...

peete dekha hai, pilate dekha hai
phoonkte dekha hai aur bujhate dekha hai
kisi ne gusse mein ise piya aur
kisi ne pyaar se ise sulgaya
kya mila kisi ko pata nahin ismen
magar sab kehte hain ke khoob maza aaya...

kisi ne sone ke liye piya aur kisi ne ise jaagne ke baad uthaya
kabhi bhala to kabhi bura farmaya
magar aaj bhi main samajh nahin paata hoon ke
peene ke baad ise kisi ne kya paaya
magar baat ek aur bhi hai ke jisne nahin piya
usne bhi hoga kabhi dhuan udaya..

ye cigarette hai dosto jiski main baat kar raha hoon
chhodne ka mann nahin tha magar chhodi
kyonke mere biwi ne aate hi
'No - Smoking' ka board lagaya..

Tum bhi mat peena dosto ye aadat buri hai
isi liye company waalon ne bhi ise
injurious to health bataya...

Jaanta hoon ke mushkil hai magar
yahi hai jisne hamen apne jism ka dushman banaya

dikha dete hain ab ke hum ghulam nahin hai iske
us mulk ke aazaad hain jahaan
baapu ne hamaare dushmaon ko maar bhagaya

Smoking kills....!!

Tuesday 12 July 2011

Ye Dilli hai mere yaar





ye dilhi hai mere yaar
bas ishq muhabbat pyaar

ko aage se aur koi peeche se
pata nahin kab karega waar
isiliye jeena hai to
sabko goli maar
ye dilli hai mere yaar...

BPO, IT, Online media aur akhbaar
sab bik chuke hain sare baazar
jo bikta hai wo dikhta hai
bas paisa phenko yaar
ye dilli hai mere yaar..

footpath par log, sadkon par gaadiyan, aur metro hai tayyaar
sab jagah mele lage hain aur polluted hai sarkaar
bacha kar rakhna apne aap ko yahaan
kabhi bomb girega, aur kabi kabhi deewar
ye dilli hai mere yaar...

dost bhi bahut milenge, dushmanon ki magar hogi bauchhar
raat ke andheron mein doob jaoge disco mein
ladkiyan karengi nazron se vaar
bach gaye to theek hai, phas gaye to hoga balaatkaar
ye dilli hai mere yaar...

in cheezon se agar bachkar nikle
to khoob chalega vyapaar
hindu ho muslim ho ya ho sardaar
aao hum milkar ise khoobsurat banayen
ban jayen hum khuddar
chalo dilli mere yaar, karo ishq mohabbat pyaar..:)

Monday 11 July 2011

Message to Ghalib


kya kahenge gaalib usko jo saans atki hai uski umeed mein
kya ise sulagne doon ya tham jaane doon main

gehra hai ye sanson ka rishta bhi gaalib
jise na naam milta hai na pehchaan milti hai
tu hi bata ye jo dehak raha hai mere seene mein wo raag
ise gaaun ya ras jaane doon main

aasman mein aaj bijli hai barsaat shayad kam hai
unka bhi haal dekho bas garaz hai baras kam hai
tu bata is rishte main agar karvahat hai
to kya use badh jaane dun main

ehsaas karoon to kho deta hoon khud ko
ehsaas na karoon to aankhen namm hain
wo koi hai lagta hai uske peeche mujhe jo pehchanta hai
usi ka khel hai ye sab, kya use nikal jaane doon main

ye ek alag sa sauroor hai mujhe jise main baant nahin sakta
ise byaan nahin karta aur kar bhi nahin sakta
jisne mujhe peena sikha diya
use kaise hosh mein aa jaane doon main

ab tu bhi pee le gaalib shayari meri sehan karni padegi
kabhi saala is paar to kabhi us paar hai
tune hi to silsila shuru kiya tha shayari ka
ab bol ke haara tu warna tujhe bhi kaise so jaane doon main

Aag jalte hue paani mein laga aaya hoon

Na aayen unki yaaden bhi to kisko yaad karoon
Wo mujhse kehti thi ke main kyun use yaad karoon

bachpana, shikayat, chahat , pyaar
sab milkar bani thi wo,
kaise na yaad karoon

har pal zindagi jeene ki chahat
apne khayaal apni ibaadat
door se dekhoge to phool thi
paas jaate hi aafat

gussa kuch is tarah tha ke jaise toofan
kabhi insaan to kabhi haivaan
surat bholi naak chhoti
aur naak par gusse ki choti

haste hue phool bahaar ke
rote hue geet pyaar ke
har jhalak uski shaayari thi
main likhta gaya use dekhte - dekhte

ziddi thi bas upar se
dil uska bhi halka tha
isiliye shayad mera pyaar use jhalka tha

samajhana to chhod do, samajhne ki baat nahin
yun samjho use jaise ke duniya mein kabhi raat nahin
sapne hain bahut, sab uljhe hue dhaagon ke the jo nishan
sulajhne ke liye waqt nahin tha to ulajhte gaye

magroor bahut the iraade uske, kabhi naram to kabhi nokeele
zindagi mushkil bhi nahin thi, magar dil ne kaha chal aaj peele
na wo shauk tha na wo aadat meri
socha tha ke aakhri jaam, samajh kar use pee len

kahaan le jayegi ye gaadi mujhe nahin tha koi ehsaas
wo mujhe kaehti thi pyaar se aaj karte hain mulakaat
silsilay yun chale khud ko main kho aaya hoon
aag jalte hue paani mein laga aaya hoon

Haan main alcoholic hoon





Maikhaane se chalkar main sadak par aa gira,
koi sharaabi keh raha tha aur koi sarphira
ye log kya jaane is girne giraane ki chaal ko
inko hai giraya zameer ne magar main khud se gira

tujhe paimaane mein daal kar pee gaya
isi ko peekar main jee gaya
kitni koshish ki hogi banane waale ne uthane ki
koi tujhe paane ki khushi mein mar gaya
aur main tujhe khone ke gham mein jiya

ab manzar wo nahin raha hai duniya ka jo hota tha
ye maikhane aaj ashkon se bhar gaye hain
itni sharaab nahin jitna paani hai
har saale naujawaan ki ek hi kahaani hai

kya hua hai ke sab is cheez ko sahara banaate hain
maine bhi socha ikk bar ise bahut gaur se
phir laga ke jaise main hi gunahagaar hun sabka
usi din bottle chhod kar maine ye soch liya

tum jeo zindagi ko ya zindagi tumhen
bas baandh lo mann se ke khush rehna hai
ye daaro peena bahut aasan hai gham ko badhane ka kaam karti hai
jo ismen dooba wo mara, jo doob kar tair gaya wo jiya

Bachpan



Waqt aisa kabhi dekha na tha
Waqt aisa kabhi socha na tha,
Duniya bahut haseen thi tab
Waqt aisa kabhi hota na tha

Chhoti si duniya thi
Chhote se khwaab the
Chhoti-chhoti khushiyan thi
Magar aaj ki tarah nakaab na the

Hum bas jeetna seekhe the
Aur har waqt hasna seekhe the
Kaise badla ye waqt aaj sochta hoon main
Magar kar bhi kya sakta hoon kyunki ye waqt kisi ka dost nahin

Aaj dekhta hoon pichhe to mere bachpan ki laash veeran padi hai
jise main na to jala paata hoon
aur na hi dafna paata hoon.

Tera naam lekar

Maine piya hai jaam tera naam lekar
maine kiya ye kaam tera naam lekar

Tu yaad kare ya na kare
main jeeta hoon har shaam tera naam lekar

Tujhe koi kahe to maan lena
ke main kho chuka imaan tera naam lekar

khud ko paane mein zindagi beet gayi
magar paaya hai inaam tera naam lekar

Ab to likhne bhi laga hoon dekh teri yaad mein
ab badla ye insaan tera naam lekar

Shor

Ye shor jo uth raha hai
Ye shor jo ghut raha hai
Bahut farak hai dono mein
Kyonki ek uth raha hai aur ek ghut raha hai
Aur ek shor mere andar hai
ye shor ab toot raha hai, ye shor ab chhup raha hai

Maine jab hosh sambhala tab is shor ko apne andar paaya
Ye bahar nikla tha ek bacha bankar
Phir ubhra jawaani bankar
Kabhi dost bankar kabhi naadaani bankar
Ab is shor ko dhoondta hoon main
Jo reh gaya hai ek kahaani bankar

Tum ise shor kahoge ya zindagi
mere liye to ye ek chor hai
Jo aaya, dikhaya, sikhaya
Aur chala gaya ek nishani bankar

Is shor ko main bahut yaad karta hoon
ye dobara aayega ya nahin aayega, pata nahin
Magar chahta hoon ke ye aaye ab
To bas meri zindgaani bankar..

Khawaab shayad

Bahut so chuka tha
aaj utha hoon shaayad
Neend udi meri aankhon se
Kuchh khwaab toote shayad
Band aankhon mein samaaye the
magar sab jhoothe shaayad
Ab khuli aankhen meri khawaab dekhen
chahe mann roothe shaayad
Mann to apna hai, maan jayega
Magar ab ye khawaab na toote shaayad.

- Kyonki ye khawaab jo main khuli aankhon se dekhna chahta hoon
Ye wo khawaab hain jinmen maine apni zindagi ko taraasha hai
Band aankhon ke khawaab aksar toote hain
Magar in khawaabon ke tootne ka darr zara sa hai

Hum dono

Hum dono Naadan hain
Hum dono Jawaan hain
Hum dono Pyaar karte hain
Hum dono Izhaar karte hain
Wo alag hai, main alag hoon
Phir bhi ek doosre ka intezaar karte hain

Wo kehte hain ke tum bure ho
Hum kehte hain ke bure hain magar tujh bin adhoore hain
Itna sunkar wo muskuraate hain
Aur hamesha ke liye mere paas aa jaate hain...:)

Helpless

Waqt ke haathon, main ab majboor ho chala

teri aankhon ke daayre se bahut door ho chala

Bahut saha hai tera zulm aur sitam magar
Ab ye jism khuda ke ru-ba-ru ho chala...

Beete hue waqt ko thaam nahin sakta
teri khwahishon ko shaayad main jaan nahin sakta
Isi liye chal pada hoon khuda ke ghar
Jaate-jaate bhi magar teri yaadon ka silsila khoob chala
Waqt ke haathon, main ab majboor ho chala

Tu naaraz mat hona mujhe yun haara hua dekhkar
Tera deedaar main karta tha chand ka nazaara dekhkar
Tere chehre se us chand ka ishara khoob chala
Waqt ke haathon, main ab majboor ho chala

Mujhe ranj nahin hai marne ka main zinda hoon
Tere khayaalon ke aasmaan ka main parindda hoon
Tujhe saath lekar jo kabhi ud na saka
Aaj kashti nahin doobi hai magar wo kinara doob chala
Waqt ke haathon main ab mazboor ho chala...