Sunday 31 May 2015

Ishq ki Adaalat - Court of Love

Ye Ishq ki Adaalat bhi bade ajeeb faisle leti hai
Dil todne waale ko naya dil aur sambhaalne waale ko 'Umr-kaid' deti hai

Saturday 30 May 2015

My Umbrella

kuchh samay se main apne saath har waqt ek chhaata rakhta hun
Bemausam baarish ka bhaiy jo bana rehta hai
Ye chhaata mujhe is baarish mein bheegne se to nahin bacha paata magar
Ek tasaali zaroor rehti hai ke koi saath khada hai..

Friday 29 May 2015

Hadd

Suna hai mazaak ki bhi ek hadd hoti hai
Koi khuda ko bhi jaakar ye samjhaye
Wo jab bhi mazaak karta hai
saari haden paar kar deta hai...

Thursday 28 May 2015

Kaun Bada Hai??

Tang si gali hai, magar bahut se darwaazon ko khulne ka rasta deti hai
Roz jaane kitne log is shortcut ka sahara lekar apna waqt bachaate hain

Chhota chhota judkar bada banta hai, chhota hokar hi bada banta hai
Ghar chhota ho ya bada, asmaan har ghar ki chhat se utna hi dikhta hai
Sabhi chaaton se udne waali patangen ek hi assmaan mein tairati hain


In chhoti-chhoti aankhon se bhi hum itni duniya dekh lete hain
Aur is chhote se dil mein hum, kitni yaaden samet lete hain
Chhoti-chhoti yaadon mein hamari duniya samai hai

Kai chhote chhote bachon ne bahut kuchh kar dikhaya hai
Unse bhi chhoti dawa ki goliyon ne, kai logon ko marne se bachaya hai

Khuda ne hi jab insaan ko duniya mein bhejne par itna chhota banaya hai
Phir kyon insaan doosron ko chhota aur khudko bada kehta hai..?

Wednesday 27 May 2015

Chhat (The Roof)


Aaj chadha hun chhat par barson baad, laga maili si chhat hai
Kadmon ke bhi nishaan rakhti hai, bahut gehri chhat hai

kya ye wahi tooti hui dor ka tukda hai jo buni thi padosi ki patang kaatne ke liye
gir pada the dheel dete dete jispe kya ye wahi bargat hai..?
saamne waali thodi saaf hai magar sooni si chhat hai..

is chhat se us chhat ka faasla bahut kamm tha kabhi
kai baar laanghi thi ye sarhad bina visa ke kisi ne nahin roka tha
Wo podha jo giraata tha roz phool is taraf, uska jhukaav aaj doosri chhat hai

suna hai wo shaqs jo khelta tha cricket ispe, wo chal basa hai kuchh dino pehle
bhala sa dikhta tha jaane kyon ruksat hua, shaayad khooni si chhat hai.

Tuesday 26 May 2015

Monday 25 May 2015

Pehli Ghazal

Maana ke hua hun naadaan, mujhe naadaan hi rehne do
Chhalkta hun har mehfil mein, mujhe jaam hi rehne do
Bahut waqt se kuchh kehne ki firaak mein tha 
mujhe aaj apni pehli ghazal kehne do

Bahut der sambhaala hai nazar karta hun
bahut der mein sambhala hun arz karta hun
Aaj tak beh kar hi paar lagta aaya hun
na do kashti ka sahara mujhe behne do
mujhe aaj apni pehli ghazal kehne do

Majbooriyon ne kiya mazboor to mazdoori kar li
sapnon ne kiya apnon se door to doori rakhli
khud ko khud hi mein khokar paayi hai manzil maine
mujhe khud ke thoda nazdeek rehne do
mujhe aaj apni pehli ghazal kehne do

Kisi ko paas rakha hai kisi ko door rakha hai
Jisko bhi magar rakha hai khuda ne bahut mehfooz rakha hai
har kisi ko khabar nahin magar main jaanta hun khuda ko
Sab ke andar chhupa hai, ise andar hi rehne do
Mujhe tum aaj apni pehli ghazal kehne do..


Sunday 24 May 2015

Woh Bachpan

kya bachpan yaad hai tumhen?
wo badhapann yaad hai tumhen?
wo khud ek roti khakar soti thi
magar wo aakhri roti charon mein se kon khayega
wo ladakpan yaad hai tumhen??

Wo chulhe yaad hain tumhen?
roz tandoor sazta tha saamne waali massi ke ghar mein
mohalle ki sabhi aurten aakar pyaaz se bhare namkeen rot sekti thi
hum luka chhupi khelte hua sabse ek ek chura liya karte the

wo dushman bhi kya yaad hai tumhen?
roz aata tha, aai se ladta tha
sab kamzor ghade toot jaate the magar kuchh kar nahin paate the
sab kadwaahat dil mein liye so nahin paate the

wo baithak yaad hai tumhen??
aai kuchh dino baad gobber ki lipaai karti thi
ac se bhi thandi rehti thi, wo til waala pankha use hawa deta tha

Wo junoon bhi bhoole nahi ho jaanta hun
laiyee se kaagaz ke lifaafe banana
tees ki gatthi pack kar bikwaana
wo mera aur Rikki ka laale ki dukaan par jaana..

aur comics se bhi hamen khoob pyaar tha
ek table rakha tha baithak ke peechle chhor par
karobaar bhi khoob chala tha magar
bahut se ghar chhaane the har dagar..

bahut se kisse hain brother
kishton mein hi likh sakta hun ye safar
jaayaz nahin lagta inka ek kahaani mein zikar
logn ko karne do sabar..tc

Thursday 21 May 2015

Uljhan

Kabhi saahas ke kadam to kabhi darr ke khatam
kabhi is baat se kabhi us se ghutan
kudrat ke saamne kudrat pe sitam
aajiwan maut aur, maut pe bhi ghaman

beraag zindagi, zindagi uljhan
seena choda magar dil daftann
cheerti nigaahen anjjuman
kaafir akela, raaste par chaman

naadan tinka, sundarr sa sitam
ghor kaali raat mein ek karam
lauta ghar ko sankatan
jism roo-b-roo, rooh kafan.

Waqt


Wo dekho ja raha hai waqt tumse khafa hokar
meri maano to kass ke pakad lo haath uska
warna suna hai ke bhagwaan bhi palat jaate hain
Jab ye chhodta hai saath kisika...

Tuesday 19 May 2015

'Main'


Badi shiddat se maine apne andar us 'main' ko paala hai,

jisne mujhe kabhi jeene to nahin diya, magar, marne se bachaya hai..

बड़ी शिद्दत से मैने अपने अंदर उस 'मैं' को पाला है,

जिसने मुझे कभी जीने तो नहीं दिया, मगर, मरने से बचाया है..

Sunday 17 May 2015

Inspiration

Meri yaadon ka safar kuchh lamba hai, chhote-chhote khawaab likh raha hoon
kuchh haseen sawaalon ke main jawaab likh raha hoon
pechida zindagi hai paicheeda logon se judi hai
apni hi ghazal ke main aalap likh raha hoon.

shaam hote hi jaise mere dil ke taar bajne lagte hain
main youtube kholkar gulzaar sun raha hoon
apni hi aawaaz lagti hai aur apne hi kisse hote hain
inhi ko sunkar main baar-baar likh raha hoon

Sunday 10 May 2015

Development or destruction???

Dhalti umr ke akelepan mein wo kisse bhi khoob yaad aate hain
jab wo mere siraahne paani ka glaas rakhna nahin bhoolti thi
bijli rahe ya na rahe magar sar pe har waqt wo pankkha jhoolti thi

sukoon ki neend thi wo ikk baar girte the bistar pe
to phir subaha pehli baang se hi neend khulti thi
aankhen khulti thi aur band ho jaati thi, 
kuchh dhundla dhundla sa shuru mein nazar aata tha

zor se ubaasi lete hue wo apni aakhen ragadkar dhundlapan hata dena
jaane kaise wo jaan jaati thi sab aur chai ki pyaale ke saath saamne hoti thi
hum haath pakadkar paas kheechte the aur wo kookar ki seeti sunkar bhaag jaati thi

chai peete hi gusalkhane mein aise dhakka diya jaata tha
jaise hum barson se kabhi nahaaye na hon
Naahaate waqt bhi magar woh aawaz thamti nahin thi

pata nahin sab kaam wo kaise itni tezi se poora karti thi
aaj kal ki shayaad machines bhi na kar paayen
kapde istari, khana tayaar, aur hum khane ko tayaar

us khane mein bhi kuchh alag baat thi kya bayaan karen
Ek katori daliya, ek mein sookhi sabji, ek mein daal, thaali mein chaawal
aur garma garam roti par tairta hua wo desi ghee 
aur ek bada sa gilaas lassi se bhara hua
aaj ke naujawaan agar ye sab kha len to 2 din tak bhook na lage :)

Ek school mein teacher tha main drawing ka
meri kaksha ke sab bache ulte seedhe chitra banate the
aur main unhen theek karta rehta tha
Aaj kal suna hai sab utle seedhe chitra onnche daamon par beche jaate hain
us waqt ke agar 4-5 bhi sambhaal kar rakhta to shayad main bhi dhani hota :)

Ek ladka magar hoshiyaar tha 'Rahul' naam tha uska
khoob achhi achhi buildingon ke chitra banata tha
suna hai aaj London mein architect hai
Mila tha ikk baar aaya tha mujhe school mein milne
apna ek visiting card dekar gaya hai
keh raha tha ke is school ki jagah ab mall ban raha hai
jiska project wahi handle kar raha hai

Thursday 7 May 2015

Naya Din


Roz nikalte hue ghar se office ki taraf bas yahi baat sochta hun
Aaj naya din hoga, aaj naya kaam hoga, nayi raat hogi
din guzar jaata hai jaise kuchh palon mein, 
shaam hote hi laptop,charger, bag mein pack kar 
ghar ki taraf rawana hota hun

Raasta bhi wahi hai jaane ka roz jo tai karta hun
Ik taraf kate hue bakre latke hain, zinda chicken ke pinjron ke saath
wo zinda chicken bhi shaam ko alag alag gharon mein parosa jayega
koi ise roti ke saath koi daaroo ke saath chabayega

daayin taraf sabjiyon ke thele lage hote hain
chilla-chilla kar jo har aane jaane waale ko daraate hain
jo jiski awaaz se darta hai, wahi se saaman dharta hai

thodi door jaakar daahine haath mein kuchh log fuits bechne ke liye baithe hain
wo chillate nahin hain, magar daam poochhne par aadhe se jyada log
bina baat kiye aage nikal jaate hain

kuchh bache maile kapde pehne hue apni maa ka pallu khech kar
unhen kharidne ki zidd karte hain
magar wo majboor maa sab ansuna kar deti hai

in sab se nikalne ke baad ek mod hai daayin taraf
mudte hi ek taraf chhota sa mandir, us badbudaar jahag ke theek bagal mein
jahaan sadak ki doosri taraf rehne waale log, apna kooda karkat fenkte hain

dekhkar ajeeb lagta hai, wahin aage chalne par daayin taraf jaati hui
dagar pakadta hun, ek basti hai wahaan log use govindpuri ka naam dete hain

paar karne par ek red light hain zahaan roz jaam rehta hai
har kisi ko jaldi hoti hai ghar pahunchne ki
magar nahin chahta ke koi doosre pahunch paaye

is khalbali mein wo bas ghus jaate hain, kuchh der doosron ko sataate hain
main bhi kisi tareeke se wo janjaal ghera paar karta hun

phir aage ek chhoti si market hai
kai duakaane hain magar, kone ke theke par sabse jyada bheed rehti hai
ek dossre ke pair par pair rakhkar jahaan kahridne mein bhi jaddojahad hoti hai

kuchh patli galiyon ka shorcut leta hua main nikalta hun doorse chhor par
raaste mein ek barber, ek dhaba aur kuchh chemist ki dukaane padti hain
kuchh anjaan chehre pehchaan leta hun jo roz dikhte hain

doorse chhor ki sadak seedha mere ghar pe khatm hoti hai
neeche kariyaane ke dukaan hai to jaane se pehle biwi se phone pe poochh leta hun
ki ghar mein doodh aur dahi to rakha hai na, nahin hota to le jaata hun

is tarah wo teen maale ki seedhiyan chadhne ke baad main apne ghar pahunchta hun
yehi roz naya din hai, raat ki baad phir bataunga, warna itna kuchh ek saath 
padhne mein aapko bahut mehnat lagegi
waise bhi TV par har serial episodes mein hi aate hain
phir milenge dosotn agle episode mein raat ke safar ke liye, gud bye - VK

I, Me aur Main


Yahi baat main peechhle kai din se soch raha hun
ke khoya kuchh mere andar hi hai, 
aur main use baahar dhoond raha hun

Bebasi agar hai mujhme to khud ki hi den hai
Aur main duniya ko koss raha hun

Mujhe lagta tha ke shaayad main jeet kar aaya hun
magar ab jaana ke khudki haar par hi main
taali thok raha hun 

Doosre se kahi kai baaten meri zindagi ka sach ban chuki hain
isiliye ab har baat main khud se hi kar raha hun

khud ko khud se behtar samajhne waala shayad main hi bacha hun
main phir kyon doosron se umeed rakhta hun

Aur mera sach bhi sirf mujhe hi pata hai
duniya ke saamne shaayad main bas jhooth rach raha hun

khuda bhi shaayad nahin jaan paaya hoga mujhe ab tak
main khud ki hi khoz mein aaj tak bhatak raha hun

Zindagi yun hui basar tanha


Zindagi ab main kuchh is tarah se jee raha hun
ke jaane anjaane mein jo kuchh peechhe chhoota ya toota hai
Use ikattha kar zod raha hun aur sil raha hun
aesa nahin hai ke sab kuchh poorana rakha hai mere paas
haal hi mein main kuchh naye navele chehron se bhi mil raha hun

Kai baar lagta hai ke badi door nikal aaya hun main khud se
aur kabhi lagta hai ke aaj hi main badru se mil raha hun
badi ajeeb se khayaal rehte hain mere mann mein
kai baar likhkar nikaal deta hun, kai baar peekar jhel raha hun

Meri zindagi ki daastan hi kuchh aise hai jo main kuchh panktiyon mein bayaan anhin kar paaunga
tukda tukda jiya hun tukda tukda hi likh raha hun

Wo dhai Saal

zindagi bhar mujhe yaad rahenge ye dhai saal,
waqt guzra jaise hawa guzarti hai paas se
zindagi kuchh aise bikhari jaise tooti hui koi kaach ki bottle
mat poocho kaise guzaare wo lamhen, poochh na paaye kabhi khud ka haal..
yaad rahenge mujhe ye dhaai saal...

bewaqt rukaawaten, berukhi ka mausam aur bezubaan raaten
koi nahin paas, hum dono bhi jaise zinda laashen
bahut garze aur barse ek doosre par, bahut roye aur chillaaye
baaten bani, baaten bigadieen, zindagi chali behar haal,
mat poocho kaise guzre wo dhai saal..

Thi umeeden bhi jo jindagi se wo toot gayin
jo sapne sajaye sab choor ho chuke the,
hum paas bhi the aur door bhi the
samajah nahin paaye the ye zidagi ka asali rrop hai ya janjaal,
shukr hai ke beete wo dhai saal..

jahaan gaye tamaashe hue, jahaan na gaye wahaan bhi bure
itna sochne ki taaqat bhi nahin thi, na deemaag par zor daala
bas ek doosre ka haath thaam aur kood gaye
aaj baahar nikale kitni mushakkat se, aaj mile hain gulzar,
tujhse hi seekhi maine zindagi, tune mujhse jeena
ab aae koi bhi saamne mai ka laal..
bahut ajeeb the magar zindagi ka raaz bata gaye wo dhai saal...

Daal aur kankkar

khate khaate aaj meri daal se kankkar nikla
mujhe laga ke uski nigaah kuchh kamzor ho gayi hai
phir mere bete ne mujhe bataya ke kal shaam se usne kuchh nahin khaya
aur kal se wo ro rahi hai

maine wazah poochhi to boli ke ab main use waqt nahin deta
saara din likhta rehta hun, use pyaar nahin karta
sunkar hasa bhi aur achha bhi laga is umr mein bhi pyaar barkaraar hai

Phir samjhaya use ke main use ab bahut achhe se samajh paaya hun
uske liye hi likh raha hun, usi ki wazah se likh paya hun

bola ke ye kisse hamari hi zindagi se joode hain
jo bhi maine likhe hain, jab kahin jaaunga to tumhen dekar jaunga
ise padhkar tumhen lagega ke main saath hun

sunkar uska mann thoda shaant hua
use apne haath se khana khilaakar mein phir se likhne laga hun

ab wo chinta mukt apne kaam mein masroof hai
ab main bedhark chain ki neend so sakta hun

Wednesday 6 May 2015

True love


Wo chale hain mujhse yun bewajah khafa hokar
Ke jaise behta ho koi samanddar dariya hokar
Main chahoon bhi to use mana nahin sakta
Aur suna hai ke milte hain sab sachche premi juda hokar

Khudgarz


Har koi zubaan waala hai magar wo zubaan nahin rakhta
Apne andar saadgi aur doosron ke liye dua nahin rakhta
Kaat kar main rakh chuka hun apne dil ko uske kadmon mein
Magar wo be-gairat mere lahu ke bhi nishaan nahin rakhta

हर कोई ज़ुबान वाला है मगर वो ज़ुबान नहीं रखता,
अपने अंदर सादगी और दूसरों के लिए दुआ नहीं रखता,
काट कर मैं रख चुका हूँ अपने दिल को उसके कदमों में,
मगर वो बे-गैरत मेरे लहू के भी निशान नहीं रखता..!!

Kadwa Sach


Hain khush-naseeb ye bezubaan jitni bhi cheezen hain
Bolta hua abhi tak koi ek shaqs bhi mujhe begunaah nahin lagta
Wo cheezen bhi achchi hain jo bas ek hi jubaan bolti hain
Koi bhi insaan dharti par magar ek zubaan nahin rakhta

Phool se chehre hain sab ke, dekhkar achha lagta hai
bhagwaan ne banaya hai insaan, har insaan sachcha lagta hai
Zubaan khulte hi magar ye kaise toofan aate hain
Koi mujhe dushman to koi dushamn ki tarah lagta hai
yahaan shayad koi paak zubaan nahin rakhta..

Likh raha hun ye sab kyonki dekh chuka hun apne waqt mein main
baap ki daant ka darr, badon ki baaten aur nazar 
kab hua in sab ka khaatma, kyon nahin gaya waqt thehar
mujhko pata hai ke koi in sab baaton ko dil mein nahin rakhta
Wo gudd aur chane shaam ko ab koi nahin chakhta...

khatm ab shaayad andar se meri rooh ho chali hai
ye badalta hua waqt jaane kahaan le jayega
kya insaan kabhi insaan ko khayega??
Main nikalta hun tum dekhna ye sab, mera to alag hai rasta
Alvida dosto main ab is dharti par nahin basta..