Thursday 7 May 2015

Naya Din


Roz nikalte hue ghar se office ki taraf bas yahi baat sochta hun
Aaj naya din hoga, aaj naya kaam hoga, nayi raat hogi
din guzar jaata hai jaise kuchh palon mein, 
shaam hote hi laptop,charger, bag mein pack kar 
ghar ki taraf rawana hota hun

Raasta bhi wahi hai jaane ka roz jo tai karta hun
Ik taraf kate hue bakre latke hain, zinda chicken ke pinjron ke saath
wo zinda chicken bhi shaam ko alag alag gharon mein parosa jayega
koi ise roti ke saath koi daaroo ke saath chabayega

daayin taraf sabjiyon ke thele lage hote hain
chilla-chilla kar jo har aane jaane waale ko daraate hain
jo jiski awaaz se darta hai, wahi se saaman dharta hai

thodi door jaakar daahine haath mein kuchh log fuits bechne ke liye baithe hain
wo chillate nahin hain, magar daam poochhne par aadhe se jyada log
bina baat kiye aage nikal jaate hain

kuchh bache maile kapde pehne hue apni maa ka pallu khech kar
unhen kharidne ki zidd karte hain
magar wo majboor maa sab ansuna kar deti hai

in sab se nikalne ke baad ek mod hai daayin taraf
mudte hi ek taraf chhota sa mandir, us badbudaar jahag ke theek bagal mein
jahaan sadak ki doosri taraf rehne waale log, apna kooda karkat fenkte hain

dekhkar ajeeb lagta hai, wahin aage chalne par daayin taraf jaati hui
dagar pakadta hun, ek basti hai wahaan log use govindpuri ka naam dete hain

paar karne par ek red light hain zahaan roz jaam rehta hai
har kisi ko jaldi hoti hai ghar pahunchne ki
magar nahin chahta ke koi doosre pahunch paaye

is khalbali mein wo bas ghus jaate hain, kuchh der doosron ko sataate hain
main bhi kisi tareeke se wo janjaal ghera paar karta hun

phir aage ek chhoti si market hai
kai duakaane hain magar, kone ke theke par sabse jyada bheed rehti hai
ek dossre ke pair par pair rakhkar jahaan kahridne mein bhi jaddojahad hoti hai

kuchh patli galiyon ka shorcut leta hua main nikalta hun doorse chhor par
raaste mein ek barber, ek dhaba aur kuchh chemist ki dukaane padti hain
kuchh anjaan chehre pehchaan leta hun jo roz dikhte hain

doorse chhor ki sadak seedha mere ghar pe khatm hoti hai
neeche kariyaane ke dukaan hai to jaane se pehle biwi se phone pe poochh leta hun
ki ghar mein doodh aur dahi to rakha hai na, nahin hota to le jaata hun

is tarah wo teen maale ki seedhiyan chadhne ke baad main apne ghar pahunchta hun
yehi roz naya din hai, raat ki baad phir bataunga, warna itna kuchh ek saath 
padhne mein aapko bahut mehnat lagegi
waise bhi TV par har serial episodes mein hi aate hain
phir milenge dosotn agle episode mein raat ke safar ke liye, gud bye - VK

No comments:

Post a Comment