Showing posts with label shor. Show all posts
Showing posts with label shor. Show all posts

Monday 11 July 2011

Shor

Ye shor jo uth raha hai
Ye shor jo ghut raha hai
Bahut farak hai dono mein
Kyonki ek uth raha hai aur ek ghut raha hai
Aur ek shor mere andar hai
ye shor ab toot raha hai, ye shor ab chhup raha hai

Maine jab hosh sambhala tab is shor ko apne andar paaya
Ye bahar nikla tha ek bacha bankar
Phir ubhra jawaani bankar
Kabhi dost bankar kabhi naadaani bankar
Ab is shor ko dhoondta hoon main
Jo reh gaya hai ek kahaani bankar

Tum ise shor kahoge ya zindagi
mere liye to ye ek chor hai
Jo aaya, dikhaya, sikhaya
Aur chala gaya ek nishani bankar

Is shor ko main bahut yaad karta hoon
ye dobara aayega ya nahin aayega, pata nahin
Magar chahta hoon ke ye aaye ab
To bas meri zindgaani bankar..