Tuesday 1 September 2015

Kya Yahi Pyaar Hai..??

Ishq farmaana ho to iska matlab zara samjho 'Rizwan'
Dil tez dhadke, to use ishq nahin kehte...!!
Khud ko kho chuke hain jo pyaar ki raah par nikle the,
Aur aise log sirf Jeete hain, Zinda nahin rehte..!!

इश्क़ फरमाना हो तो इसका मतलब ज़रा समझो 'रिज़वान'
दिल तेज़ धड़के, तो उसे इश्क़ नहीं कहते...!!
खुद को खो चुके हैं जो प्यार की राह पर निकले थे,
और ऐसे लोग सिर्फ़ जीते हैं, ज़िंदा नहीं रहते..!!

Wednesday 26 August 2015

Once Again

Jaane kyon baar-baar wahin laakar khada kar deti hai zindagi,
Jahaan se har baar main zindagi ki ek nayi shuruwaat karta hoon...!!

जाने क्यों बार-बार वहीं लाकर खड़ा कर देती है ज़िंदगी,
जहाँ से हर बार मैं ज़िंदगी की एक नयी शुरूवात करता हूँ...!!

Saturday 22 August 2015

SMS - "Sach Mein" Sach

Mere seene mein lagi thi aag,
aaj thodi sek lagi to samjha...
rishte kuchh the kache rangon jaise
zara si barsaat se chhoote to samjha...

Mere saath baithkar peene waale hi
mujhe pyaasa chhod denge..
Dushman achhe hain doston se
Thokar khai to samjha..

Badi saadgi se mera dil todkar chal diye
badi shiddat se maine bhi tukde ikatthe kiye
Tootkar judne mein jo maza hai,
Andar se toota to samjha...

Bachpan mein zindagi-e-fikr na tha
Jawaani ke josh mein bhi hosh kahaan tha
Zindagi  bas ek khubsurat bala hai
Maut ghar aai to samjha....

Likhne ka bhi ajab maza hai
Saamne tumhare, tumhari hi katha hai,
Main bhi kahaan samajhta tha Gulzaar ki baaten
Khud pe beeti to samjha...

मेरे सीने में लगी थी आग,
आज थोड़ी सेक लगी तो समझा...
रिश्ते कुच्छ थे कच्चे रंगों जैसे
ज़रा सी बरसात से छूटे तो समझा...

मेरे साथ बैठकर पीने वाले ही
मुझे प्यासा छोड़ देंगे..
दुश्मन अच्छे हैं दोस्तों से
ठोकर खाई तो समझा..

बड़ी सादगी से मेरा दिल तोड़कर चल दिए
बड़ी शिद्दत से मैने भी टुकड़े इकट्ठे किए
टूटकर जुड़ने में जो मज़ा है,
अंदर से टूटा तो समझा...

बचपन में ज़िंदगी-ए-फ़िक्र ना था
जवानी के जोश में भी होश कहाँ था
ज़िंदगी  बस एक खूबसूरत बला है
मौत घर आई तो समझा....

लिखने का भी अजब मज़ा है
सामने तुम्हारे, तुम्हारी ही कथा है,
मैं भी कहाँ समझता था गुलज़ार की बातें
खुद पे बीती तो समझा...

Saturday 15 August 2015

Zinda

Aise hi kuchh likhne ke liye mujhe peena zaroori hai,
Jeene ke liye jaise hamen marna zaroori hai...!!!

ऐसे ही कुछ लिखने के लिए मुझे पीना ज़रूरी है,
जीने के लिए जैसे हमें मरना ज़रूरी है...!!!



Thursday 13 August 2015

Old School Guy

Kahaan hai wo shor,
naadaanon aur shaitaanon ka,
boodhon ka aur jawaanon ka
chhote bade makaanon ka,
Ye galiyan ab sunsaan kyun hain?

kahaan gaya wo shor,
Kanche bhari jebon ka,
school ke darr se rone ka
subaha subaha saamne waali massi ke bolne ka
Maassi ab pareshaan kyun hai?

Kahaan kho gaya shor,
Subaha padose ke doodh maangane ka
aur raat ko ice qubes ke liye aane ka
Padosi ab humse anjaan kyun hai?

Aur kahaan gaya main?
Jo har waqt kuchh karne ki dhun mein rehta tha
naye plans nayi soch naya josh
kabhi na thakne waala khanabadosh
Mera shareer ab bejaan kyun hai?

कहाँ है वो शोर,
नादानों और शैतानों का,
बूढ़ों का और जवानों का
छोटे बड़े मकानों का,
ये गलियाँ अब सुनसान क्यूँ हैं?

कहाँ गया वो शोर,
कंचे भरी जेबों का,
स्कूल के डर से रोने का
सुबहा सुबहा सामने वाली मासी के बोलने का
मासी अब परेशान क्यूँ है?

कहाँ खो गया शोर,
सुबहा पड़ोसे के दूध माँगने का
और रात को आइस क्यूब्स के लिए आने का
पड़ोसी अब हमसे अंजान क्यूँ है?

और कहाँ गया मैं?
जो हर वक़्त कुच्छ करने की धुन में रहता था
नये प्लान नयी सोच नया जोश
कभी ना थकने वाला ख़ानाबदोश
मेरा शरीर अब बेजान क्यूँ है?

Wednesday 12 August 2015

Gustaakhiyan (गुस्ताखियाँ)

Kahin apni nazar hai to kahin gair khabar hai,
dil-e-gulistan mein aaj koi naya asar hai
aankhen ne bheja hai ishara-e-mohabbat
katal hoga aaj jo wo dil jaane kidhar hai....

parda hatne se pehle parda nashin ka salaam
dawa-e-daaroo chod kar ruksat rizwan
khoob samajhta hai ishq-e-daari ki zubaan
shayrana pasand hai unhen unka naam jo Ghazal hai..!!

कहीं अपनी नज़र है तो कहीं गैर खबर है,
दिल-ए-गुलिस्ताँ में आज कोई नया असर है
आँखें ने भेजा है इशारा-ए-मोहब्बत
कत्ल होगा आज जो वो दिल जाने किधर है....

परदा हटने से पहले परदा नशीं का सलाम
दवा-ए-दारू छोड़ कर रुक्सत रिज़वान
खूब समझता है इश्क़-ए-दारी की ज़ुबान
शायराना पसंद है उन्हें उनका नाम जो ग़ज़ल है..!!

Wednesday 5 August 2015

Luka chhupi

Na jaane kitne chehre badlati hai zindagi
har mod par ise naya kirdaar chahiye...!!

ना जाने कितने चेहरे बदलती है ज़िंदगी
हर मोड़ पर इसे नया किरदार चाहिए...!!

Sunday 2 August 2015

Bojh

Jeeta raha main yunhi lekar bojh jindagi ka,
Gar utaar deta to main bhi shaayad khuda hota..!!

जीता रहा मैं यूँही लेकर बोझ जिंदगी का,
गर उतार देता तो मैं भी शायद खुदा होता..!!

Tuesday 28 July 2015

Tanha

Tanha kaun hai yahaan aaj khuda ke siva,
log jise yaad karte bhi hain to bas zaroorat padne par..!!

तनहा कौन है यहाँ आज खुदा के सिवा,
लोग जिसे याद करते भी हैं तो बस ज़रूरत पड़ने पर..!!

Ye Dooriyan

Kuchh waqt door rehkar wo mere baare mein sab kuchh jaan gaya,
mere saath rehkar jo shaqs mujhe kabhi samajh nahin paaya..!!

कुछ वक़्त दूर रहकर वो मेरे बारे में सब कुछ जान गया,
मेरे साथ रहकर जो शक़स मुझे कभी समझ नहीं पाया..!!

Wazah (वज़ह)

Pyaar karne ki uske paas koi aur wazah nahin hai,
Dard se pyaar hai use, bas dard baant raha hai..!!

प्यार करने की उसके पास कोई और वज़ह नहीं है,
दर्द से प्यार है उसे, बस दर्द बाँट रहा है..!!

AKS (अक्स)

Likhta kamm hun magar sachai bayaan karta hoon,
Main bheed mein chalte hue tanhaai bayaan karta hoon,
Sookh kar jo phool udta raha hai dhool mein,
Main uske ras se bani wo siyaahi bayaan karta hoon...!!

Bagair paani ke main geela rehta hoon,
shayad apni aankhon ki gehraai bayaan karta hoon,
tez dhoop mein bhi mera rang saaf rehta hai,
main suraj nahin hoon magar safai bayaan  karta hoon...!!


लिखता कॅम हूँ मगर सच्चाई बयान करता हूँ,
मैं भीड़ में चलते हुए तन्हाई बयान करता हूँ,
सूख कर जो फूल उड़ता रहा है धूल में,
मैं उसके रस से बनी वो सियाही बयान करता हूँ...!!

बगैर पानी के मैं गीला रहता हूँ,
शायद अपनी आँखों की गहराई बयान करता हूँ,
तेज़ धूप में भी मेरा रंग सॉफ रहता है,
मैं सूरज नहीं हूँ मगर सफाई बयान  करता हूँ..!!

RIP Sir 'Abdul Kalam'

Phir kisi ke jaane ki yaad mein do lafz likh diye jaayenge
Phir kisi ke aansu niklenge aur sookh jayenge
Ye zindagi magar aise hi chalti rahegi apni taftaar se
Tere jaane ka gham bas tere apne hi samajh payenge..!!!
RIP Sir 'Abdul Kalam' Ji...!!

फिर किसी के जाने की याद में दो लफ्ज़ लिख दिए जाएँगे,
फिर किसी के आँसू निकलेंगे और सूख जाएँगे,
ये ज़िंदगी मगर ऐसे ही चलती रहेगी अपनी रफ़्तार से,
तेरे जाने का गम बस तेरे अपने ही समझ पाएँगे..!!!

Wednesday 22 July 2015

Chal Bhaag

Neend kar rahi hai basera mere ghar mein
aur dil mera har waqt jaagna chaahta hai
rooh lad rahi hai khuda se zindagi ke liye
aur ye jism hai jo duniya se bhaagna chahta hai..!!

नींद कर रही है बसेरा मेरे घर में
और दिल मेरा हर वक़्त जागना चाहता है
रूह लड़ रही है खुदा से ज़िंदगी के लिए
और ये जिस्म है जो दुनिया से भागना चाहता है..

Tuesday 21 July 2015

Sach

Jindagi tujhe jee raha tha ab tak main khwaabon mein,
Tu mili to sab sach lagne laga....!!

जिंदगी तुझे जी रहा था अब तक मैं ख्वाबों में,
तू मिली तो सब सच लगने लगा....!!

Jeena


Zindagi bhar karte rahe hum achhe bure waqt aur insaan ki pehchaan, 
khudko gar samajh lete to jeena ho jaata aasaan..!!!


ज़िंदगी भर करते रहे हम अच्छे बुरे वक़्त और इंसान की पहचान, 

खुदको गर समझ लेते तो जीना हो जाता आसान..!!!

Monday 20 July 2015

Pyaasa

Mujhe khuda na kaho rakeeb mujhmen thodi insaaniyat abhi baaki hai,
Khuda hota to shaayad tujhe pyaasa hi maar deta...!!

मुझे खुदा ना कहो रकीब मुझमें थोड़ी इंसानियत अभी बाकी है
खुदा होता तो शायद तुझे प्यासा ही मार देता...!!

Aazaad


Na rahun khafa kisi se na kabhi udaas rahoon
main in sab jazbaaton se shayaad kabhi aazaad rahoon
Zarooraten milaati hain aur dil rishte bana deta hai
Zindagi ki uljhane badhti hain, Jeena aasaan nahin...

"Rishte", naam chhhota hai , aawaaz badi
banana aasaan hai nibhaaye to sar chadhi
kamm rakkho, magar kareeb rakho
bade bano magar dil gareeb rakho
main sab ko samjhun koi mujhe na samjhe, mera ehsaan nahin..

Baarish ki boonden jism se sarakti hui
aansuon se milin to tezaab bane
Chhota sa bacha zinda moorat
umr beeti chehron ke nakaab bane
Main pehchaanun sabko, meri koi pehchaan nahin...

Ghhomne nikla, ghuma diya duniya ne
ghoomkar lauta, bhaga diya apnon ne
la-ilaaj hasraten, bebuniyaad takreeren
Riti riwaaz, toote aur sur bigde saaz,
Main gaaun sur mein aur mera koi saaz nahin... 

Mandir mein pujaari, sabki jeb maari
baahar bhookha mar gaya bhikhaari
Patthron mein shradha, insaan mein krurata
jalan ki aag mein roz marti duniya saari
main khud se jalta raha, mera koi saamaan nahin...

Thursday 16 July 2015

Gunaah (Crime)

Maine bhi gunaah kiye hain main maanta hoon mohsin,
magar ye saza bigadne ki thi ya sudharne ki hai??

मैने भी गुनाह किए हैं मैं मानता हूँ मोहसीन,
मगर ये सज़ा बिगड़ने की थी या सुधरने की है??

Sunday 12 July 2015

Main shaayar badnaam

Kuchh khaas wajah nahin hai bas yun hi likhta hoon..
Tu hi bata ke tujhe kya main 'shaayar' dikhta hoon?

कुछ ख़ास वजह नहीं है बस यूँ ही लिखता हूँ..
तू ही बता के तुझे क्या मैं 'शायर' दीखता हूँ?

Dhokha

Kya kuchh nahin karta insaan ise sanwaarne ke liye
Phir bhi saath chhod deti hai badi bewafa zindagi hai..!!

क्या कुछ नहीं करता इंसान इसे संवारने के लिए
फिर भी साथ छोड़ देती है बड़ी बेवफा ज़िंदगी है..!!

Saturday 11 July 2015

Wo

Insaan bas isi soch mein apni poori zindagi guzaar deta hai,
Ke kabhi wo naaraz na ho aur kahin use bura na lage..!!

इंसान बस इसी सोच में अपनी पूरी ज़िंदगी गुज़ार देता है,
के कभी वो नाराज़ ना हो और कहीं उसे बुरा ना लगे..!!

Haal-e-dil


Kabhi bhi zindagi ne mujhse, mera haal chaal nahin poochha..
Har roz guzarti hai mere saamne se hokar...

कभी भी ज़िंदगी ने मुझसे, मेरा हाल चाल नहीं पूछा..
हर रोज़ गुज़रती है मेरे सामने से होकर...!!

Thursday 9 July 2015

Sookha Patta


Sookhe patte sa hawa mein ud raha hoon main,
umeedon aur sapnon ki duniya se pare,
apna paraaya bhi mehsoos nahin hota,
ab aaye koi aur mujhe zinda kare...!!

सूखे पत्ते सा हवा में उड़ रहा हूँ मैं
उमीदों और सपनों की दुनिया से परे
अपना पराया भी महसूस नहीं होता
अब आए कोई और मुझे ज़िंदा करे...!!

Hona hai kya?

Sabhi agar likhne lage to shaayaron ka kya hoga?
aur sabhi agar aise likhne lage to shayari ka kya hoga...??

सभी अगर लिखने लगे तो शायरों का क्या होगा?
और सभी अगर ऐसे लिखने लगे तो शायरी का क्या होगा...??

Dhoondte Reh Jaaoge


Zaroori nahin har baat ko chup rehkar sehna,
kai baar zindagi nikal jaati hai sahi mauka dhoondate..!!

ज़रूरी नहीं हर बात को चुप रहकर सहना,
कई बार ज़िंदगी निकल जाती है सही मौका ढूँढते..!!

Wednesday 8 July 2015

Jaagte Raho !!

Wo chala ja raha hai dekho maikhaane ki taraf ladhkhadata hua,
kya use itna bhi hosh nahin, ke aaj dry day hai..?

वो चला जा रहा है देखो मैखाने की तरफ लड़खडाता हुआ,
क्या उसे इतना भी होश नहीं, के आज ड्राइ-डे है..?


Ye Mehfil

Jao jaakar pehle ishq farmao ghaalib,
Ye diljalon ki mehfil hai tum bore ho jaaoge..!!

जाओ जाकर पहले इश्क़ फर्माओ ग़ालिब,
ये दिलजलों की महफ़िल है तुम बोर हो जाओगे..!!  

Tuesday 7 July 2015

Fired

Aakhir mein insaan hi insaan ke kaam aata hai,
Tum khud hi paida karte ho jo antt mein tumhe jalaata hai..!!

आख़िर में इंसान ही इंसान के काम आता है,
तुम खुद ही पैदा करते हो जो अन्त्त में तुम्हे जलाता है..!!

Dostana

Khuda jaane kon tumhara dost hai aur kon dushman??
Aaj kal har dushmani ki shuruwaat, dosti se hi hoti hai..!!

खुदा जाने कोन तुम्हारा दोस्त है और कोन दुश्मन??
आज कल हर दुश्मनी की शुरूवात, दोस्ती से ही होती है..!!

Saturday 4 July 2015

Ghajini

Duniya ki bheed mein bhi tanhaai dhoond leta tha,
Maikadon mein jaakar dawai dhoond leta tha,
Pyaar mein doobkar khudko kho diya usne,
Wo shaqs jo har rishte mein, gehraai dhoond leta tha..

दुनिया की भीड़ में भी तनहाई ढूंड लेता था,
मैकदों में जाकर दवाई ढूंड लेता था,
प्यार में डूबकर खुदको खो दिया उसने,
वो शक़स जो हर रिश्ते में, गहराई ढूंड लेता था..

Good Bye!!!

Hoga Jab kabhi mera maut se saamanaa,
Tab puchhunga ke e-zindagi, kya tu mujhe pyaar karti hai?

होगा जब कभी मेरा मौत से सामना,
तब  पूछूंगा के ए-ज़िंदगी, क्या तू मुझसे प्यार करती है?

Thursday 2 July 2015

Mehfooz

Main to ek beez hoon mujhe dafnaakar kya karoge,
Na jaane kahaan se niklunga, kahaan-kahaan pehra doge..

Taare zameen par

Main tere khilaaf nahin hoon, bas tujhe jeena sikha raha hoon,
bina doobe gehraai naapne waale, duniya mein bahut kamm log hain...

Pyaar ka punchnama

Ishq-e-kabristaan ki, khaak chhaan kar lauta hun main,
kuchh tukde to toote hue dilon ke baraamat hue,
aur kuchh dil sabut mile hain, jo dhadakna bhool chuke hain..

Kambakht Ishq

Wo mere ishq ki kitaab padh, Ishq farmaane nikla tha,
Aaj lauta hai barson baad, aur khaali haath lauta hai...

Wednesday 1 July 2015

No Strings Attached

Suna hai tootkar jo taar judte hain,
Unki har aawaz nayi dhun hoti hai..
Aur judte bhi wahi taar hain,
Jinpe sawaar judne ki dhun hoti hai..

Made In India

Ye kis matti Ke Insaan Bana raha hai khuda,
Jo neeche aate hi toot jaate hain..
Ya koi aur chala raha hai duniya ko ab,
Jise ye nahin pata ke kaise banaaye jaate hain?

Dil Se

Samjhoge tum bhi kabhi mohabbat ke ishaaron ko
Ye wo aafat hai jo kabhi bata kar nahin aati..

समझोगे तुम भी कभी मोहब्बत के इशारों को
ये वो आफ़त है जो कभी बता कर नहीं आती..

Reload

Insaan ka tazurba hi uski asli umr bayaan karta hai,
Ye tareekhen aur saal bataate hain ke jism kitna poorana ho chuka hai...

Tuesday 30 June 2015

Jee le Zaraa

Jaate-Jaate wo mujhe Jeene ki wajah de gaya,
Is-se bada ehsaan wo mujhpar kya karta...
Pyaar ko samjha hoon pyaar ko khokar main,
Pehle jaanta to shaayad kabhi pyaar na karta..

Aage Se Right

Dard aankhon se chhalkaana chhod diya maine,
Aansoo bahaane ka kaam ab mera dil karta hai,
Ek galti ki saza ise aesi mili hai ke,
ab ye har kisi ki galtiyon ka hisaab rakhta hai..

karam

Mere saamne hi hua hai mere pyaar ka katal
aur shaayad mere hi haathon hua hai
Saza bhi mujhe hi dena E khuda
Use to pata bhi nahin tha ke use kya hua hai?

Pyaar ke side effects

Sach kaha hai kisine ke pyaar sab kuchh bhula deta hai,
Kabhi bhookh bahut zyada lagti hai aur kabhi bhukha hi sula deta hai...

Monday 29 June 2015

Kaam ka plot

Kal sard hawa thi, aaj aankhon mein nameen hai,
Kal Insaan kamm the, aaj insaaniyat nahin hai,
Logon ne itne tukde kiye hain is dharti ke,
Aaj murde bhi uthke bolne lage hain ke, 
"bhai, wo tera plot hai aur ye meri zameen hai"

Inception

Kai baar dooba hoon, tairna bhi nahin aata tha magar bach nikla
Is baar magar jo dooba to baahar bas mera jism nikla

Pehle saans roki thi phir ruk gayi, khud-b-khud use dekhkar
Saamne thi wo mere, phir gaayab hui, aise hi mera damm nikla

Aankhen khuli thi, shor mein sannata tha, wo mere khyaalon mein thi
Jab hosh mein aaya, logon ke kandhon par sawaar, mera shav nikla

Main chillaya, kooda janaaze se, sab ne andekha,ansoona  kiya
peeche se ek haath aaya, mera haath pakda, palat kar dekha to mera sanam nikla..

Immortal

Jaane kaisa rishta hai, Jo na banta hai aur na hi bigadta hai
Dono taraf se kheech rahe hain dor dono, 
Dhaaga na to tootata hai aur na hi chhotata hai..

Ek panchhi jo ab udne ki chaahat nahin rakhta
Apne pankh nadi ke paani mein baar-baar gile kar
phir se kinara karta hai inke sookhne ka intezaar mein
Na to ye thand se marta hai aur na thitharta hai..

Ek rooh jo do hisson mein baant di gayi
riti riwaazon mein jakde do zinda jismon mein
Jism mile aur phir juda ho gaye,
Ab na ye rooh soti hai na ise chain padta hai..

Sunday 28 June 2015

Namak Ishq Ka

Maikadon mein chhup kar baithe hain sab pyaar karne waale
Mohabbat ki zara si dhoop to inse sahi nahin jaati...

Main Hoon Na

Main bhi e doston tumhare saath kab tak hoon,
Is shareer mein jab tak jaan hai tab tak hoon,
Main bhi yaad nahin rahunga aur shaayad mera likha bhi nahin,
Padh lo ye panktiyan chaar jab tak hoon..

Saturday 27 June 2015

Pehchaan

Usne kaha ke wo pehle se mujhse waakif hai,
Dil tootne se hi sahi, logon ko meri pehchaan to hui..

No Mercy

Tairna yahaan kisi ko nahin aata magar,
Sab pyaar ki nadi mein kood jaate hain..
Doobne par kai log damm tod dete hain,
Aur kuchh doobne ke darr se tairna seekh jaate hain...

EMIs of Life

Main bhi apna bacha hua waqt ab, tukdon mein hi nikaal raha hoon
Suna hai ke khuda insaan ko, EMIs pe zindagi de raha hai..

Naseeb

Ishq ki kabr khod raha hoon dosto,
Daal jo ismen, jis-jis ko dafnaana hai..

Laapata


Ek aadmi mila aasmaan ki taraf dekh khuda ko gaali de raha tha..
khudko maarne laga jab maine kaha ke khuda tumhare andar hi hai...

Ye dooriyan

Aap bhi to humse ab kahaan baat karte ho?
Jaankar accha laga, hamara likha to padhte ho...

Samjho Na

Aaj unhen mujhe apna likha bhi samjhaana padega
Jinhen khudko samjhaane mein maine ik umr guzaar di..
Wo khudko kabhi khud bhi samajh nahin paaye
Yahi hamaari zindagi ki sabse badi haar thi..

Ek tha shayar

Pesh-e-khidmat karta hoon, thodi si zubaan apni
khudko nazar kar sakoon, itni haisiyat kahaan apni..

Friday 26 June 2015

Ishaqzaade

Khata hui mujhse ke izhaar-e-mohabbat kar baitha
Ek gunaah ke baad doosra gunaah kar baitha,
ab tak raaten bitaayi thi akelepan mein,
Ab ye din bhi tanha kar baitha...

Do You Know?

Zindagi ko thoda kareeb se to dekho
Maikhaane ban jayenge sab dawa khaane
Aur peene baithoge jab un maikadon mein dosto
Ashqon se bhare milenge sab paimaane..

Thursday 25 June 2015

Dil Dhadakne Do

Mujhse kyon poochhte ho sawaal, meri zindagi ke baare mein
Kuchh palon mein ek umr bayaan karna mumkin nahin lagta
Aur kya karoge tum gade murdon ko ukhaad kar
Kya tumhen ye hasta hua chehra achha nahin lagta?

Ek Mulakaat

Abhi-abhi aaye ho, theek se baithe bhi nahin aur jaane ki baat kar rahe ho, maajra kya hai?
kaafi der baad mile ho, raaste mein dekhkar munh pher lete ho, chhupaana kya hai?

Aaj us rang ke kapde pehne ho jo rang tumhen hamesha se napasand tha
baalon ka style bhi aaj alag hai, bata na kya hai?

chalo mat batao, baitho to sahi, do ghari hamari hi baat sunlo,
Bas idhar udhar ki baat hi karoonga, samjhaana kya hai?

Wednesday 24 June 2015

Meri Jung

Zindagi leti rahi mere sabr ka imtehaan
Kabhi jaan ka kabhi maal ka, bahut hua nuksaan mera
Khaak bhi chhaani aur riyaasaten bhi dekhin
Zamaana bhi raha hai kadrdaan mera

Kai baar maut ne bhi pukara mujhe to yun laga
Jaise khuda ke ghar se aaya ho farmaan mera
magar yunhi haar maanane waalon mein se hum nahi the
Ladta raha jab tak dushman na ho jaaye veeraan mera

Aaj phir saanson se jung chhidi hai
Aaj phir main saanson ke taar kheech raha hoon
Phir se aaj khuda ne mujhe aawaaz di hai
Usko bhi har waqt rehta hai jaise dhyaan mera...

Aakhir kyon?

Ye shabd hi reh jayenge, is liye likh raha hoon
Ek din sab chale jayenge, kis-liye likh raha hoon?
Nahin jaanta koi padhne waala hoga ya nahin
Shaayad khuda ke kaam aayenge is liye likh raha hoon..

Tuesday 23 June 2015

The Last Installment

Paai-paai jod wo shakhs uske umr bhar ke khaane ka jugaad kar gaya
Jise wo kehti rehti thi ke pyaar khane ko nahin deta
kaise mara kisi ko pata nahin, laash mili thi usi mohtarma ke darwaaze par
Na koi chot ke nishaan the na koi zakhm tha shareer par, 
Haathon mein ek noton ki gaddhi mili thi
kuchh mude hue kuchh ungliyon se jude hue
aisa laga jaise aakhri waqt mein bhi wo bas paise gin raha tha...
Hothon par hasi bhi thi haste haste gaya hai shaayad
uski muskaan se yun laga ke jaise ye uski aakhri installment thi..

Daud

Zindagi ki tez raftar mein itna kho gaya tha
ke kai saalon tak maine khudka chehra nahin dekha
badhta raha behte hue paani ki tarah, kai chattanon se hokar guzra
Jo bhi peeche chhoota, use palat kar dobara nahin dekha

Kai darwaaze band the jo tod diye maine
kai bas naam ke sahaare bhi the jo chhod diye maine
Ek aandhi uda le gayi mujhe gira gayi samandar mein
Aisa samandar jo pehle kabhi maine mere yaara nahin dekha

Maana toda hai waqt ne mujhe andar se poora
magar abhi bhi main zinda hoon
Aur mere dil mein har wo shaqs zinda hai
Jinke jaisa koi aur maine dildaara nahin dekha...

Monday 22 June 2015

Tum Ho...

Saari raat tere khyaalon mein lipti hai, 
aur dinbhar hamen neend nahin aati hai
Ro leta hun kai baar Jab khud se haar jaata hun
Kabhi dil tez dharkta hai, kabhi ye saans rukti hai.

Wo manzar saamne aata hai, main aankhen khol deta hun
Tu mere paas hoti hai, main tere paas hota hun
Magar jab chhoona chahun to, tu phir se door jaati hai
Aaja ab kahin mat ja, ismen allah ki marzi hai.
Kabhi dil tez dharkta hai, kabhi ye saans rukti hai.

Maikhane chhod doonga main, Jaam saare tod doonga main
Aayega agar khuda bhi lene mujhe, use bhi mod doonga main
Main tujhse pyaar karta hun, tu mujhse kyun bigadti hai,
Kabhi dil tez dharkta hai, kabhi ye saans rukti hai...

D-Day

Maikhane band hain sab aaj dry day lagta hai
chalo aaj border chalkar peete hain
bina piye sote mujhe bada darr lagta hai..

Tuesday 16 June 2015

Sachaa aur Jhootha

Kuchh bhi achha ya bura nahin hota
Insaan insaan hota hai khuda nahin hota
Zindagi bhi chhoti si hai, sochkar jiyo ya jeekar socho
sab kuchh soch-samajhke karne ka bhi samaa nahin hota

Insaan hi likh raha hai, insaaniyat ki kitaab
Apraadhi wahi hai jo pakda gaya 
magar kai gunaahon ka, dharti par faisla nahin hota

Kahaani kahaan se shuru hogi aur kahaan jaakar khatam
Ye shaayad likhne waala bhi nahin jaanta
Marte wahi hain jinmen jeene ka jazba nahin hota

Har waqt kat-hare mein khade rehte hain ye mitti ki putle
Umr bhar sahi galat ki sunwaai karte rehte hain
Inke marne par kai aise bhi log rote hain
Jinhone kabhi inhen dekha nahin hota

Sach aur jhooth mein farak, maut aur zindagi jaisa hai
Insaan jhooth ka sahara lekar zindagi bhar sach se ladta hai
Aur Maut se insaan ka parichay kabhi dobara nahin hota..

Kya Badla Hai?

Kya badla hai?
Abhi bhi sapne dekhta hoon, 
Chonk-kar uth jaata hoon, toot jaane par
Phir se so jaata hun, dobara neend aane par

Kya badla hai?
Abhi bhi rooth jaaata hoon
subaha kisi ke jaldi jagaane par
phir maan bhi jaata hoon, chaaye ki pyaali aane par

Kya badla hai?
Abhi bhi ladta hoon
koi na samjhe agar samjhaane par
phir samjhata hoon, uske wahi galti dohrane par

Kya badla hai?
Abhi bhi pee leta hoon
Botal chhupa leta hoon, biwi ke aane par
Phir se peene lagta hoon, uske chale jaane par

Kya badla hai?
Abhi bhi sochta hoon
ke kon khyaal rakhega mere apnon ka, mere chale jaane par
Kya kuchh bhi nahin badlega, sab kuchh khatam ho jaane par??