Friday, July 19, 2013

Adhoore Khwaab


Hui bhari raat mein mere khwabon ki numaish rancho 
In adhoore aur toote falsafon ka koi khareed-dar na mila

Saturday, June 1, 2013

Badlaav (A Change)


Main na to teri zaat se, na teri aukaat se badla

badla hai mera jism meri raakh se badla
khaak hui hain kuchh laashen bina jale bhi akhtar
meri raakh ki kuchh dhul udi use aalaap ne badla



na to aandhi aayi na tufaan aaye
zor se bas chali thi hawa wo viraan se aaye
meri aankhen thi khuli band usne ki thi shaayad
aakhri waqt mein uske mujhe saath ne badla

chingariyan aaj bhi lagi hain badan mein mere muqammal
main muqammal ho na saka mujhe haalaaat ne badla

sar-saraati gun-gunaati wo tere paas ki hawa
mere dil mein basi aur main apne aap se badla

zor se chilla kar wo nadi beh rahi thi zahaan
wahin mere paanw fisle aur main khuda ke us tohfaak se badla

chandd kuchh alfaaj aaj saath agar de jayen to khuda maanu
tu shaayad khudai se main khuda ke baap se badla

Sunday, May 26, 2013

O Naadaan Parinde Ghar Aaja


kuchh khaas to nahin hai magar likhne ki aadat hai

mujhe mere dil se ulajhne ki aadat hai

waqt hi kuchh naya sa kar deta hai
ise bhi mere dil se khelne ki aadat hai



ye ajeeb sa sama hai jo kai khaabon mein dooba hai

ye alag ansaan hai ise ghumne ki aadat hai

meri ek soch ko shayari kar deta hai
mere is gusse ko baandh sa deta hai
kabhi duniya alag kabhi apni si lagti hai
kyun mujhe har kisi se dil lagaane ke aadat hai

khair har shaks ke andaaz hote hai
na jaane kitne nakaab hote hain
badalte haalat ko hum chehra samjhte hain
shayad in chehron ko badalne ki aadat hai

kabhi waqt mujhe kabhi main waqt ko kaatata hun
kabhi is gali kabhi us gali bhaagta hun
kahin to tham ja e naadan parinde
kyon tujhe har waqt udne ki aadat hai...

o naadaan parinde ghar aaja.......

Bheed


yahaan bahut bheed hai, main bhi is bheed ka hissa hun
bahut kahaniyaan zudi hain is shehar se, main bhi to ek kissa hun..

Gair



Gair si hui hai ye hawa bhi mujhse 
ke gair ho gaye jab haalaat mere khud se

kuchh log jo hote the mere bhagwaan
wo aaj poochte hain, main hoon kis mazhab se

Tuesday, August 28, 2012

Life or death..??



Mulaakat kuchh aesi rahi hai meri zindagi se
na main use samjha na wo mujhe samajh paayi
aksar dono ki raah alag hi rahi hai
usne mele dikhae or mujhe mili tanhai
bikhar - bikhar ke sambhalne ki chaah mein rahe
e yaaro khatam karo ab ise, mujhe maut ke hawaale karo bhai...

Friday, June 8, 2012

Ye Panne meri kitaab ke hain...



kuch peele aur kuch neele hue
kuch ukhde hain aur kuchh mude bhi hain
ye panne meri kitaab ke hain

kai baar palte kai baar maile hue
kabhi syaahi mein dhule kabhi chai ka ghoot bhara
kitni baar ukhde hain inko bhi pata nahin
kabhi apne lage to kabhi mehmaan se hain
ye panne meri kitaab........

likhte bhi hain inpe aur mita bhi dete hain
kabhi gusse mein inko jala bhi dete hain
phir kabhi inhen dil pe laga kar bhi soya hain
raat aur din se farak nahin ye yunhi bezubaan se hain
ye panne meri.............

saath na chhoda kabhi sab duniya chhod gaye
unke bhi kisse inn panno ki zubaan pe hain
kisi humsafar se kamm nahin bas ek saamaan se hain
ye panne meri kitaab.........

kabhi nakaab mein the ab duniya jaan gayi
ke hum is syaahi aur panno mein ghire hain
ye sab barke unke liye farmaan se hain
ye panne meri kitaan ke hain...

likhna seekho dard ko kubool karo
mat socho ye sab kalpana hain andar ki
likhne ka koi bhi usool nahin dosto
isiliye shayad ye shayar insaan se hain
ye panne meri kitaab ke hain...