Monday, June 1, 2015

Chalo Lamhen Jee Len

Chalo lamhen jee len
chura kar kuchh puraane, ya bun kar naye
inse hum apne kapde see len, chalo lamhen jee len

ek lamha tum rakho apni zubaan par ek hum rakhte hain
guftgu karte hain aaj aao mehfil sajaate hain
Aao aaj hum thoda madira-e-zeher pee len
chalo lamhe jee len

Aashiqui

Ek chehre se wo pareshaan baithe hain
Aur doosre par meharbaan baithe hain
In haseenayon ka bhi koi bharosa nahin
jaane kitne aashiq inke chakkar mein shamshaan baithe hain..

Kuchh tumhara likhta hoon

Chalo aaj main kuchh tumhara likhta hun
Kashti bhulkar kinaara likhta hun
alfaaz agar pasand na aayen to bata dena
main sab kuchh mitaakar dobara likhta hun..

चलो आज मैं कुछ तुम्हारा लिखता हूँ
कश्ती भूलकर किनारा लिखता हूँ
अल्फ़ाज़ अगर पसंद ना आएँ तो बता देना
मैं सब कुछ मीटाकर दोबारा लिखता हूँ..

Saturday, May 30, 2015

My Umbrella

kuchh samay se main apne saath har waqt ek chhaata rakhta hun
Bemausam baarish ka bhaiy jo bana rehta hai
Ye chhaata mujhe is baarish mein bheegne se to nahin bacha paata magar
Ek tasaali zaroor rehti hai ke koi saath khada hai..

Friday, May 29, 2015

Hadd

Suna hai mazaak ki bhi ek hadd hoti hai
Koi khuda ko bhi jaakar ye samjhaye
Wo jab bhi mazaak karta hai
saari haden paar kar deta hai...

Thursday, May 28, 2015

Kaun Bada Hai??

Tang si gali hai, magar bahut se darwaazon ko khulne ka rasta deti hai
Roz jaane kitne log is shortcut ka sahara lekar apna waqt bachaate hain

Chhota chhota judkar bada banta hai, chhota hokar hi bada banta hai
Ghar chhota ho ya bada, asmaan har ghar ki chhat se utna hi dikhta hai
Sabhi chaaton se udne waali patangen ek hi assmaan mein tairati hain


In chhoti-chhoti aankhon se bhi hum itni duniya dekh lete hain
Aur is chhote se dil mein hum, kitni yaaden samet lete hain
Chhoti-chhoti yaadon mein hamari duniya samai hai

Kai chhote chhote bachon ne bahut kuchh kar dikhaya hai
Unse bhi chhoti dawa ki goliyon ne, kai logon ko marne se bachaya hai

Khuda ne hi jab insaan ko duniya mein bhejne par itna chhota banaya hai
Phir kyon insaan doosron ko chhota aur khudko bada kehta hai..?