My feelings, my words, my experiences, which can be your's too. Let me know with comments if you find one. Enjoy shayari with VK.
Monday, June 22, 2015
Tuesday, June 16, 2015
Sachaa aur Jhootha
Kuchh bhi achha ya bura nahin hota
Insaan insaan hota hai khuda nahin hota
Zindagi bhi chhoti si hai, sochkar jiyo ya jeekar socho
sab kuchh soch-samajhke karne ka bhi samaa nahin hota
Insaan hi likh raha hai, insaaniyat ki kitaab
Apraadhi wahi hai jo pakda gaya
magar kai gunaahon ka, dharti par faisla nahin hota
Kahaani kahaan se shuru hogi aur kahaan jaakar khatam
Ye shaayad likhne waala bhi nahin jaanta
Marte wahi hain jinmen jeene ka jazba nahin hota
Har waqt kat-hare mein khade rehte hain ye mitti ki putle
Umr bhar sahi galat ki sunwaai karte rehte hain
Inke marne par kai aise bhi log rote hain
Jinhone kabhi inhen dekha nahin hota
Sach aur jhooth mein farak, maut aur zindagi jaisa hai
Insaan jhooth ka sahara lekar zindagi bhar sach se ladta hai
Aur Maut se insaan ka parichay kabhi dobara nahin hota..
Kya Badla Hai?
Kya badla hai?
Abhi bhi sapne dekhta hoon,
Chonk-kar uth jaata hoon, toot jaane par
Phir se so jaata hun, dobara neend aane par
Kya badla hai?
Abhi bhi rooth jaaata hoon
subaha kisi ke jaldi jagaane par
phir maan bhi jaata hoon, chaaye ki pyaali aane par
Kya badla hai?
Abhi bhi ladta hoon
koi na samjhe agar samjhaane par
phir samjhata hoon, uske wahi galti dohrane par
Kya badla hai?
Abhi bhi pee leta hoon
Botal chhupa leta hoon, biwi ke aane par
Phir se peene lagta hoon, uske chale jaane par
Kya badla hai?
Abhi bhi sochta hoon
ke kon khyaal rakhega mere apnon ka, mere chale jaane par
Kya kuchh bhi nahin badlega, sab kuchh khatam ho jaane par??
Talaash
Main roz nikalta tha teri talaash mein anjaan raho par
Tera ishq beh raha tha jahaan un tez hawaon par
Magar tune har waqt mere saaye se yun parda rakha
Jaise kisi rooh ne khudko jism se juda rakha
Kadrdaan nahin tha us waqt zamaana mere hunar ka
Mere jism ne bhi diya saath khudko bhook se ruswa rakha
main bhatakta raha dar badar apne ishq ka janaaza lekar
Maine Dard ka naam tab khuda rakkha...
Meri Adhoori Kahaani
Sooni mehfil mein, yaarana dhoond raha hoon,
jahan is dil ka ho basera, wo thikaana dhoond raha hoon
Suna hai ek chinggari ne kai ghar jalaaye hain
Ek bewaafa dil mein, deewana dhoond raha hoon
Na koi dost hai mera na dushman hai
Jo kabhi mujhe pehchaan paaye, wo zamaana dhoond raha hoon
Dard-e-gham ki lat lagi hai, ishq-e-samanddar ki talaash hai
Jo bujha sake meri pyaas, wo mainkhana dhoond raha hoon
Doosron ke kandhe par sar rakh ro na saka
Apne andar hi main ab kuchh shaayrana dhoond raha hoon..
Monday, June 15, 2015
Move On
Hue naakam to kya, niklenege safar pe phir se ik baar
Tu saath na de mera to kya, mujhe to jaana hai us paar
In khali mehfilon ka main saamaan nahin hun
is tooti hui botal ka main jaam nahin hun
Chhoo kar zara tu dekh mujhe main insaan nahin hun
mera koi rab nahi, aur na hi koi sansaar
Tu saath de na de, mujhe to jaana hai us paar
Hua naakam to kya, niklenege safar pe phir se ek baar
Shikayat na tujhse hai meri koi, na zamaane se hai
bhujh gaye hain shaayad kuchh mere waqt ke diye
main khud hi ab aandhi ban chala hun
sab bhuje diye udaakar apne saath le chala hun
tu roshan karne ki inhen koshish na kar
ab ho jaane de mera toofan se takraar
tu aaye ya na aaye, mujhe jaana hai us paar
Hua naakam to kya, niklenege safar pe phir se ek baar..
Sunday, June 14, 2015
Pyar Ishq Aur Mohabbat
Kaisa pyaar hai sab kuchh bhula deta hai
Jab tak milta nahin hum use dhoondta rehte hain
Jab mil jaata hai to khud ko dhoondana padta hai
Kaisa pyaar hai sab kuchh hila deta hai
Jab tak nahin hota to log bewakoof samajhte hain
Jab ho jaata hai to log tumhen khojte hain
Kaisa pyaar hai pal mein rula deta hai
Jab tak saath chalta hai, khoob maza deta hai
Aur jab bichhadta hai, to khoob maza leta hai
Kaisa pyaar hai? chain se jeene nahin deta
Jab tak nahi hai to zindagi ki fikr nahin hai
jab ho jaata hai to ek bhi pal sabr nahin hai
Kaisa pyaar hai? Mazboor bana deta hai
Zindagi jeetne chala insaan dil haar jaata hai
deemaag jeene nahin deta aur dil ke haathon mazboor rehta hai
Kaisa Pyaar hai? Jo likhna sikha deta hai
Jab tak nahin tha to sunta rehta tha doorson ke kisse
hone ke baad khud kahani ban chuka hun...
Subscribe to:
Posts (Atom)