Monday, June 22, 2015

Tum Ho...

Saari raat tere khyaalon mein lipti hai, 
aur dinbhar hamen neend nahin aati hai
Ro leta hun kai baar Jab khud se haar jaata hun
Kabhi dil tez dharkta hai, kabhi ye saans rukti hai.

Wo manzar saamne aata hai, main aankhen khol deta hun
Tu mere paas hoti hai, main tere paas hota hun
Magar jab chhoona chahun to, tu phir se door jaati hai
Aaja ab kahin mat ja, ismen allah ki marzi hai.
Kabhi dil tez dharkta hai, kabhi ye saans rukti hai.

Maikhane chhod doonga main, Jaam saare tod doonga main
Aayega agar khuda bhi lene mujhe, use bhi mod doonga main
Main tujhse pyaar karta hun, tu mujhse kyun bigadti hai,
Kabhi dil tez dharkta hai, kabhi ye saans rukti hai...

D-Day

Maikhane band hain sab aaj dry day lagta hai
chalo aaj border chalkar peete hain
bina piye sote mujhe bada darr lagta hai..

Tuesday, June 16, 2015

Sachaa aur Jhootha

Kuchh bhi achha ya bura nahin hota
Insaan insaan hota hai khuda nahin hota
Zindagi bhi chhoti si hai, sochkar jiyo ya jeekar socho
sab kuchh soch-samajhke karne ka bhi samaa nahin hota

Insaan hi likh raha hai, insaaniyat ki kitaab
Apraadhi wahi hai jo pakda gaya 
magar kai gunaahon ka, dharti par faisla nahin hota

Kahaani kahaan se shuru hogi aur kahaan jaakar khatam
Ye shaayad likhne waala bhi nahin jaanta
Marte wahi hain jinmen jeene ka jazba nahin hota

Har waqt kat-hare mein khade rehte hain ye mitti ki putle
Umr bhar sahi galat ki sunwaai karte rehte hain
Inke marne par kai aise bhi log rote hain
Jinhone kabhi inhen dekha nahin hota

Sach aur jhooth mein farak, maut aur zindagi jaisa hai
Insaan jhooth ka sahara lekar zindagi bhar sach se ladta hai
Aur Maut se insaan ka parichay kabhi dobara nahin hota..

Kya Badla Hai?

Kya badla hai?
Abhi bhi sapne dekhta hoon, 
Chonk-kar uth jaata hoon, toot jaane par
Phir se so jaata hun, dobara neend aane par

Kya badla hai?
Abhi bhi rooth jaaata hoon
subaha kisi ke jaldi jagaane par
phir maan bhi jaata hoon, chaaye ki pyaali aane par

Kya badla hai?
Abhi bhi ladta hoon
koi na samjhe agar samjhaane par
phir samjhata hoon, uske wahi galti dohrane par

Kya badla hai?
Abhi bhi pee leta hoon
Botal chhupa leta hoon, biwi ke aane par
Phir se peene lagta hoon, uske chale jaane par

Kya badla hai?
Abhi bhi sochta hoon
ke kon khyaal rakhega mere apnon ka, mere chale jaane par
Kya kuchh bhi nahin badlega, sab kuchh khatam ho jaane par??

Talaash

Main roz nikalta tha teri talaash mein anjaan raho par
Tera ishq beh raha tha jahaan un tez hawaon par
Magar tune har waqt mere saaye se yun parda rakha
Jaise kisi rooh ne khudko jism se juda rakha

Kadrdaan nahin tha us waqt zamaana mere hunar ka
Mere jism ne bhi diya saath khudko bhook se ruswa rakha
main bhatakta raha dar badar apne ishq ka janaaza lekar
Maine Dard ka naam tab khuda rakkha...

Meri Adhoori Kahaani

Sooni mehfil mein, yaarana dhoond raha hoon,
jahan is dil ka ho basera, wo thikaana dhoond raha hoon

Suna hai ek chinggari ne kai ghar jalaaye hain
Ek bewaafa dil mein, deewana dhoond raha hoon

Na koi dost hai mera na dushman hai
Jo kabhi mujhe pehchaan paaye, wo zamaana dhoond raha hoon

Dard-e-gham ki lat lagi hai, ishq-e-samanddar ki talaash hai
Jo bujha sake meri pyaas, wo mainkhana dhoond raha hoon

Doosron ke kandhe par sar rakh ro na saka
Apne andar hi main ab kuchh shaayrana dhoond raha hoon..

Monday, June 15, 2015

Move On

Hue naakam to kya, niklenege safar pe phir se ik baar
Tu saath na de mera to kya, mujhe to jaana hai us paar

In khali mehfilon ka main saamaan nahin hun
is tooti hui botal ka main jaam nahin hun
Chhoo kar zara tu dekh mujhe main insaan nahin hun
mera koi rab nahi, aur na hi koi sansaar
Tu saath de na de, mujhe to jaana hai us paar
Hua naakam to kya, niklenege safar pe phir se ek baar

Shikayat na tujhse hai meri koi, na zamaane se hai
bhujh gaye hain shaayad kuchh mere waqt ke diye
main khud hi ab aandhi ban chala hun
sab bhuje diye udaakar apne saath le chala hun
tu roshan karne ki inhen koshish na kar
ab ho jaane de mera toofan se takraar
tu aaye ya na aaye, mujhe jaana hai us paar
Hua naakam to kya, niklenege safar pe phir se ek baar..