Tuesday 23 July 2013

Khuda

Na ye zameen uski hai aur na to aasamaan uske hain
bas ye dharti par mill rahe sab farmaan uske hain

wo khud hi khelta hai aur khud hi haarta hai
Jeet bhi jayen to sab naam uske hain

kon hain hum aur kya nhin kuchh farak nahin parta
hum royen to aansoo, hasen to gulistaan uske hain 

ye khuda bhi ek anokhi cheez hai maalko
ye roye to baarish, hase to toofaan uske hain



Friday 19 July 2013

Waqt


kat jaaye agar ye waqt jaldi to saans mile
kab se chal raha hai khatam hota hi nahin
haath mein aa jaye to thaam lun isko
waapis le chalun ise usi mukaam par
jahaan isne mujhse kaha tha ke saath chalunga
ab kabhi aage aur kabhi peeche rehta hai

Ranjish


Manzoor nahin hai mujhko mujhi se haarna
Ranjish meri duniya se nahin apne aap se hai..!!

Tehzeeb


Jeene ki bhi tehzeeb mujhe sikha de e khuda
jo bhi milta hai mujhe samajh nahin paata

Shaayar


Tum to lafzon ko yun jod kar unhen shayari keh dete ho
maine to suna tha ke kuchh toote to shaayar banta hai... 

तुम तो लफ़्ज़ों को यूँ जोड़ कर उन्हें शायरी कह देते हो,
मैने तो सुना था कि कुछ टूटे तो शायर बनता है... !!

Pyaar


Hai hukumat jahaan nafrat ki dosto
wahaan darwaze pyaar ke bhi khule hain
tum zara apni nazar to badlo
yahaan sab ishq aur jazbaat ke bulbule hain