Friday 16 August 2013

Dawa-Daroo


Ik yahi akhri dawa thi jo saath chhod gayi

Peene-pilaane ka ye silsila bhi ab khatam hua..

A Bitter Truth


Is bure waqt mein maine kya-kya nahin khoya saahil

Apni manzil, Apnon ka bharosa aur doston ka saath
Pata nahin ke waqt badla tha ya main
Lakeeren bhi shayad badal gayin, jab khaali the mere haath..

Tuesday 23 July 2013

Gumnaam


kat gayi hai ye raat badnaam hokar
kal subaha milta hun tumhen main anjaan hokar

main teri baaton se khafa hun to magar

kya tu bhi reh legi mujhse gumnaam hokar??

Khuda

Na ye zameen uski hai aur na to aasamaan uske hain
bas ye dharti par mill rahe sab farmaan uske hain

wo khud hi khelta hai aur khud hi haarta hai
Jeet bhi jayen to sab naam uske hain

kon hain hum aur kya nhin kuchh farak nahin parta
hum royen to aansoo, hasen to gulistaan uske hain 

ye khuda bhi ek anokhi cheez hai maalko
ye roye to baarish, hase to toofaan uske hain



Friday 19 July 2013

Waqt


kat jaaye agar ye waqt jaldi to saans mile
kab se chal raha hai khatam hota hi nahin
haath mein aa jaye to thaam lun isko
waapis le chalun ise usi mukaam par
jahaan isne mujhse kaha tha ke saath chalunga
ab kabhi aage aur kabhi peeche rehta hai

Ranjish


Manzoor nahin hai mujhko mujhi se haarna
Ranjish meri duniya se nahin apne aap se hai..!!