Tuesday 10 September 2013

Hunar

Hunar dikhane ke bhi kai tareeke hote hain 'Rizwaan'
ye zaroori to nahin ke har koi tumhen salaam kare..

Life of Pi (AAM AAdmi) - Just a Thought

Hairat hui tujhko yun rota hua dekhkar
Tu wahi hai jo sabke aansu ponchhta tha
Hairaan hua tujhko yun, mayoos hua dekhkar
Tu to wahi hai, jo sabko honsla deta tha

Hairat hui hai, tujhko yun bezubaan sa dekhkar
tu wahi to hai jise log kehte ke achha bolta hai

Hairaan hua tujhko yun Bepanah sa dekhkar
kya tu wahi hai jo sabke dil mein rehta tha

Aaj hairan hua tujhko yun akela sa dekhkar
Kal tak logon ki bheed se ghira rehta tha

Niraash hua aaj tujhko yun patthar bana dekhkar
kal tak to tu logon ke dilon mein rehta tha....

Ending with a dialogue from a movie, i recently watched-

Aam insaan bhi ek aam ki tarah hota hai, kaata jaata hai,
choosa jaata hai aur khaya bhi jaata hai 

Yaadein

Aaaya taras mujhe apni haalat par bhi aaj,
sab kuchh kiya magar kisi ne nahin jaana...
wo din bhi the jab kuchh nahin karte the,
phir bhi dost har baat mein, hamen yaad kiya karte the..

Pehli Mulaakat


Uske bhi kisse kuchh ajeeb se the

hum bhi jo the apne naseeb se the
mulaakat bhi usne chaha to hui
shayad us waqt hum shareef se the..