Monday 23 June 2014

Fursat


Fursat se kabhi baat karenge tujhse e saahil

ye waqt kabhi manzil badalta hai aur kabhi karvan

Sunday 29 September 2013

Aahat

Yahi aahat thi jise sunkar kabhi hum ghum ho jaya karte the
Aaj meri rooh bhi kaamp uthati hai, tere aane ki khabar se...

Seekh Le

Laashen bhi uthi hain kai baar mere jazbaaton ki magar mein zinda hun
kisi ne mujhse kaha tha kabhi ke is duniya mein jeena hai to marna seekh lo...

Shuruwaat

Unse jab bhi baat hui hai, koi alag shuruwaat hui hai
pyaar to main nahin keh sakta lekin, kuchh to aage baat hui hai...

pehle kabhi, phir kabhi-kabhi aur ab har ghadi
pata nahin kya hua, magar din mein lage ke raat hui hai
meri bhi kuchh baat hui hai...

baaten bhi hain, kisee bhi hain aur taane bhi
khush thi wo to, par maine samjha, naazraaz hui hai
kahin kuchh to ek aawaaz hui hai...


yahi sama hai, yahi hain din bhi, baaki sab kya tha
na pehle tha na baad mein hoga, sab tanha tha
kis baare mein baat karun ab, meri to baarat hui hai
are ruko, abhi to shuruwaat hui hai...

Guroor

Hai bas itna hi gurror mujhe meri baaton ka
jab bhi main kuchh bolta hun, wo kho si jaati hai...

Kuchh Khaas nahin


Hai kuchh nahin bas kuchh hi dino ki baat hai

main tab kuchh khaas nahin tha aur ab kuch bhi nahin..

Tuesday 10 September 2013

Adhoori Kahaani

Shaayad koi puraana kissa unko yaad aaya aur wo ro diye
hum to unki kitaab mein likhe kuchh alfaaz padh rahe the...

ye alfaaz mujhko bhi kuchh ajeeb se lage
likha tha ke 'jab main wahaan pahuncha to wo chal pade the'

Kuchh der mein dekha to unke chehre par muskuraahat thi
kehne lage ke wo koi kahaani likh rahe the...

mujhko bhi yun unhone alvida bolkar darwaaza band kiya
agle hi din wo logon ke kandhon pe svaar khade the...

Wo kitaab aaj bhi main dhoond raha hun,
Jiski adhoori kahaani mein unki saanson ke taar jude the...