Friday 3 April 2015

Mind or Heart?


Diya usne bhi aaj suboot apni begunahi ka,
aaj tak jisko hum dushman samajhte rahe,
ye mera dil hi tha jo hamesha uska saath deta tha,
aur ek hum the ke deemag ki baat sunte rahe..!!

दिया उसने भी आज सुबूत अपनी बेगुनही का,
आज तक जिसको हम दुश्मन समझते रहे,
ये मेरा दिल ही था जो हमेशा उसका साथ देता था,
और एक हम थे के दीमाग की बात सुनते रहे..!!

Phir se ud chala


Baarishen, baarishon mein parindey, parindon ke baat karte hain
yun to bezubaan hain hamare liye magar kuch lukteyaat karte hain
samajh jaana chahta hun ke ye bolte kya hain
kya ye teri or meri baat karte hain...??
kabhi sochta hun pakdun inko, kabhi sochta hun yunhi udne do
ye udne se pehle mujhe kyun nazar-andaaz karte hain
khair chhodo ye parinde kya samjhenge hamen, hum insaan hain
hum khud ko khud hi nahin samajh paaye, to parindey kya mukaam rakhte hain..??
Answer from an old man to my lines:
Ye parindey hain, ye na saamaan aur na zubaan rakhte hain
ye panchhi wo hain jo bas ek hi zubaan rakhte hain
jo na kabhi badli hai, ye wo udaan rakhte hain
ye sab ek jhundd mein udte hain aur apno ka khayaal rakhte hain..

Aprichit


Tujhse aaj tak main aprichit hun zindagi, 
na tune mujhse kabhi baat ki aur na maine tujhe kabhi jaana.

In search of..


Bekhauff koi raasta to chalne ke liye de,
Tarkeeb koi mujhe meri bebasi se nikalne ke liye de,
Yun to main toofaan ko bhi maat de sakta hun,
Mujhe taakat koi khud se ladne ke liye de..

Adhoora


Adhoora sa main ahoore se khyaal mere
aur shaayad main bhi adhoora hun..
Ye waqt bhi adhoora ye duniya bhi adhoori
aur shayad main bhi adhoora hun..

wo poora tha to chala gaya, wo adhoora hai to zinda hai
kuchh poora hua to khatam hoga
isi khayal se main shayad adhoora hun...

adhoore raaz jo khule nahin ab tak,
abhoore lamhne jo poore na hue
abhoori har shaam jo doob na paayi
aur adhoore tum bhi ho jo mil na paaye
aur shaayada tumhare bina, main bhi adhoora hun..

Inside out


Chahe kitne bhi galat kaam kiye hon maine zindagi mein,
Sahi insaan ko parakhne ki nazar rakta hun,
Ye bhi nahin kehta ke har rishte ko samajhta hun main
magar jab banaata hun, to use nibhaane ka jigar rakhta hun

Ab wahaan koi nahin rehta..


Thanks Gulzaar Sahab, Just following you..
Makaan ki oopri manzil par ab koi nahin rehta
bas chidiyan aur kaag uda karte hain, koi nahin hai pehra


Lakdi ki wo seedhi jo upar le jaati thi, 

ab toot chuki hai, iska har zakhm hai gehra
makaan ki upari manzil par ab koi nahin thehra.


Yaad hain wo aakhri pal mujhe us chobaare ke
hum rang diya karte the wahaan chhupe logon ko holi ke gubbare se
wahan ek poorani si 'taand' par mujhe wo sher ka khilona yaad hai
mere boji aur bibbi jis-se sabko daraya aur hasaya karte the..
Wo aaj bhi shaayad wahaan dhool mein lipta hoga,
'Uth mere mitti ke sher' ab koi nahin kehta
makaan ki upari manzil par ab koi nahin rehta..

Neeche ki manzil par boji ke bache rehte hain,
nayi peedhi ke log hain, acchhe se rehte hain
wahaan ek pushtani baithak hai jahaan puraane chaavlon ki khushboo hai
aise chamakti thi kabhi jaise raajaon ki mehfil,
Wo sofe aur kaalin bhi ab bik chuke hain, khoon nahin shaayad un ragon mein ab paani hai behta..
makaan ki upari manzil par ab koi nahin rehta..

Pehle 'behda' bada tha kamre kamm the
logon ka aana jaane tha, chehre kamm the,
Ek hi lakdi ki wo screen thi sehre kamm the
Us maahol ka bhi alag tha chehra
makaan ki upri manzil par ab koi nahin thehra..

 Nahin doobna ab un kachchi deewaron mein bittu
nahin sochna un kisson ko jo rula dete hain 'Rahul'
wo din nahin aayenge ab, main jaanta hun 'Sachin ji'
ab 'Montu Dimpy, moti aur Rinku' koi nahin kehta
makaan ki upari manzil par...ab koi nahin rehta..