Sunday 24 May 2015

Woh Bachpan

kya bachpan yaad hai tumhen?
wo badhapann yaad hai tumhen?
wo khud ek roti khakar soti thi
magar wo aakhri roti charon mein se kon khayega
wo ladakpan yaad hai tumhen??

Wo chulhe yaad hain tumhen?
roz tandoor sazta tha saamne waali massi ke ghar mein
mohalle ki sabhi aurten aakar pyaaz se bhare namkeen rot sekti thi
hum luka chhupi khelte hua sabse ek ek chura liya karte the

wo dushman bhi kya yaad hai tumhen?
roz aata tha, aai se ladta tha
sab kamzor ghade toot jaate the magar kuchh kar nahin paate the
sab kadwaahat dil mein liye so nahin paate the

wo baithak yaad hai tumhen??
aai kuchh dino baad gobber ki lipaai karti thi
ac se bhi thandi rehti thi, wo til waala pankha use hawa deta tha

Wo junoon bhi bhoole nahi ho jaanta hun
laiyee se kaagaz ke lifaafe banana
tees ki gatthi pack kar bikwaana
wo mera aur Rikki ka laale ki dukaan par jaana..

aur comics se bhi hamen khoob pyaar tha
ek table rakha tha baithak ke peechle chhor par
karobaar bhi khoob chala tha magar
bahut se ghar chhaane the har dagar..

bahut se kisse hain brother
kishton mein hi likh sakta hun ye safar
jaayaz nahin lagta inka ek kahaani mein zikar
logn ko karne do sabar..tc

Thursday 21 May 2015

Uljhan

Kabhi saahas ke kadam to kabhi darr ke khatam
kabhi is baat se kabhi us se ghutan
kudrat ke saamne kudrat pe sitam
aajiwan maut aur, maut pe bhi ghaman

beraag zindagi, zindagi uljhan
seena choda magar dil daftann
cheerti nigaahen anjjuman
kaafir akela, raaste par chaman

naadan tinka, sundarr sa sitam
ghor kaali raat mein ek karam
lauta ghar ko sankatan
jism roo-b-roo, rooh kafan.

Waqt


Wo dekho ja raha hai waqt tumse khafa hokar
meri maano to kass ke pakad lo haath uska
warna suna hai ke bhagwaan bhi palat jaate hain
Jab ye chhodta hai saath kisika...

Tuesday 19 May 2015

'Main'


Badi shiddat se maine apne andar us 'main' ko paala hai,

jisne mujhe kabhi jeene to nahin diya, magar, marne se bachaya hai..

बड़ी शिद्दत से मैने अपने अंदर उस 'मैं' को पाला है,

जिसने मुझे कभी जीने तो नहीं दिया, मगर, मरने से बचाया है..

Sunday 17 May 2015

Inspiration

Meri yaadon ka safar kuchh lamba hai, chhote-chhote khawaab likh raha hoon
kuchh haseen sawaalon ke main jawaab likh raha hoon
pechida zindagi hai paicheeda logon se judi hai
apni hi ghazal ke main aalap likh raha hoon.

shaam hote hi jaise mere dil ke taar bajne lagte hain
main youtube kholkar gulzaar sun raha hoon
apni hi aawaaz lagti hai aur apne hi kisse hote hain
inhi ko sunkar main baar-baar likh raha hoon

Sunday 10 May 2015

Development or destruction???

Dhalti umr ke akelepan mein wo kisse bhi khoob yaad aate hain
jab wo mere siraahne paani ka glaas rakhna nahin bhoolti thi
bijli rahe ya na rahe magar sar pe har waqt wo pankkha jhoolti thi

sukoon ki neend thi wo ikk baar girte the bistar pe
to phir subaha pehli baang se hi neend khulti thi
aankhen khulti thi aur band ho jaati thi, 
kuchh dhundla dhundla sa shuru mein nazar aata tha

zor se ubaasi lete hue wo apni aakhen ragadkar dhundlapan hata dena
jaane kaise wo jaan jaati thi sab aur chai ki pyaale ke saath saamne hoti thi
hum haath pakadkar paas kheechte the aur wo kookar ki seeti sunkar bhaag jaati thi

chai peete hi gusalkhane mein aise dhakka diya jaata tha
jaise hum barson se kabhi nahaaye na hon
Naahaate waqt bhi magar woh aawaz thamti nahin thi

pata nahin sab kaam wo kaise itni tezi se poora karti thi
aaj kal ki shayaad machines bhi na kar paayen
kapde istari, khana tayaar, aur hum khane ko tayaar

us khane mein bhi kuchh alag baat thi kya bayaan karen
Ek katori daliya, ek mein sookhi sabji, ek mein daal, thaali mein chaawal
aur garma garam roti par tairta hua wo desi ghee 
aur ek bada sa gilaas lassi se bhara hua
aaj ke naujawaan agar ye sab kha len to 2 din tak bhook na lage :)

Ek school mein teacher tha main drawing ka
meri kaksha ke sab bache ulte seedhe chitra banate the
aur main unhen theek karta rehta tha
Aaj kal suna hai sab utle seedhe chitra onnche daamon par beche jaate hain
us waqt ke agar 4-5 bhi sambhaal kar rakhta to shayad main bhi dhani hota :)

Ek ladka magar hoshiyaar tha 'Rahul' naam tha uska
khoob achhi achhi buildingon ke chitra banata tha
suna hai aaj London mein architect hai
Mila tha ikk baar aaya tha mujhe school mein milne
apna ek visiting card dekar gaya hai
keh raha tha ke is school ki jagah ab mall ban raha hai
jiska project wahi handle kar raha hai

Thursday 7 May 2015

Naya Din


Roz nikalte hue ghar se office ki taraf bas yahi baat sochta hun
Aaj naya din hoga, aaj naya kaam hoga, nayi raat hogi
din guzar jaata hai jaise kuchh palon mein, 
shaam hote hi laptop,charger, bag mein pack kar 
ghar ki taraf rawana hota hun

Raasta bhi wahi hai jaane ka roz jo tai karta hun
Ik taraf kate hue bakre latke hain, zinda chicken ke pinjron ke saath
wo zinda chicken bhi shaam ko alag alag gharon mein parosa jayega
koi ise roti ke saath koi daaroo ke saath chabayega

daayin taraf sabjiyon ke thele lage hote hain
chilla-chilla kar jo har aane jaane waale ko daraate hain
jo jiski awaaz se darta hai, wahi se saaman dharta hai

thodi door jaakar daahine haath mein kuchh log fuits bechne ke liye baithe hain
wo chillate nahin hain, magar daam poochhne par aadhe se jyada log
bina baat kiye aage nikal jaate hain

kuchh bache maile kapde pehne hue apni maa ka pallu khech kar
unhen kharidne ki zidd karte hain
magar wo majboor maa sab ansuna kar deti hai

in sab se nikalne ke baad ek mod hai daayin taraf
mudte hi ek taraf chhota sa mandir, us badbudaar jahag ke theek bagal mein
jahaan sadak ki doosri taraf rehne waale log, apna kooda karkat fenkte hain

dekhkar ajeeb lagta hai, wahin aage chalne par daayin taraf jaati hui
dagar pakadta hun, ek basti hai wahaan log use govindpuri ka naam dete hain

paar karne par ek red light hain zahaan roz jaam rehta hai
har kisi ko jaldi hoti hai ghar pahunchne ki
magar nahin chahta ke koi doosre pahunch paaye

is khalbali mein wo bas ghus jaate hain, kuchh der doosron ko sataate hain
main bhi kisi tareeke se wo janjaal ghera paar karta hun

phir aage ek chhoti si market hai
kai duakaane hain magar, kone ke theke par sabse jyada bheed rehti hai
ek dossre ke pair par pair rakhkar jahaan kahridne mein bhi jaddojahad hoti hai

kuchh patli galiyon ka shorcut leta hua main nikalta hun doorse chhor par
raaste mein ek barber, ek dhaba aur kuchh chemist ki dukaane padti hain
kuchh anjaan chehre pehchaan leta hun jo roz dikhte hain

doorse chhor ki sadak seedha mere ghar pe khatm hoti hai
neeche kariyaane ke dukaan hai to jaane se pehle biwi se phone pe poochh leta hun
ki ghar mein doodh aur dahi to rakha hai na, nahin hota to le jaata hun

is tarah wo teen maale ki seedhiyan chadhne ke baad main apne ghar pahunchta hun
yehi roz naya din hai, raat ki baad phir bataunga, warna itna kuchh ek saath 
padhne mein aapko bahut mehnat lagegi
waise bhi TV par har serial episodes mein hi aate hain
phir milenge dosotn agle episode mein raat ke safar ke liye, gud bye - VK