Tuesday 2 June 2015

Jazbaat (Emotions)

Kya hain ye jazabaat, kahaan se aate hain?
Haste ko rula aur rote ko hasa jaate hain
Kisi ko pal mein apna, aur kisi ko begaana banate hain
Koi laakh koshish kare inhen chhupaane ki
kisi na kisi roop mein baahar aa hi jaate hain..

Bahut nazuk hain ye magar, zara sambhaal ke rakhna
Galti se bhi kisi ke jazbaaton ko mat todna
suna hai bahut hatthi hote hain ye, 
tootne par kai baar zindagi bhar dushmani nibhaate hain

Achha bhi lagta hai agar koi samajhta hai inko
Main bhi koshish karta hoon apni shayaari mein inhen bayaan karne ki
suna hai gar kisi ko achhe lagen to,
unke dil mein ghar kar jaate hain...

Monday 1 June 2015

Am I Dreaming?

Main unhi purani mulakaton ko yaad kar, 
phir se tumse mil raha hoon
Aisa lagta hai ke jaise abhi shuru hua hoon, 
aur abhi tumhare pyaar mein utar raha hun...

Socha nahin tha kabhi ke phir se mil paaunga tumhse
Aise milunga ye bhi kabhi nahin socha tha
yaadon mein hi sahi,
main namumkin ko to mumkin kar raha hoon

Tumse jo kabhi keh na paaya, wo baaten aaj kar raha hoon
kabhi jo tumhen de na paaya, wo bhi tumhen nazar kar raha hoon
Kabhi ro bhi nahin paaya hun khulkar tumhare saamne
Aaj main apni aankhen namm kar raha hoon

Bhagwaan maana tumhen chheen baitha hai mujhse
magar ye yaaden kaise chheenega
Shayad mujhe khush dekhkar wo phir se jale aur bula le upar
bas yahi sochkar main use thoda tangg kar raha hoon

Chalo Lamhen Jee Len

Chalo lamhen jee len
chura kar kuchh puraane, ya bun kar naye
inse hum apne kapde see len, chalo lamhen jee len

ek lamha tum rakho apni zubaan par ek hum rakhte hain
guftgu karte hain aaj aao mehfil sajaate hain
Aao aaj hum thoda madira-e-zeher pee len
chalo lamhe jee len

Aashiqui

Ek chehre se wo pareshaan baithe hain
Aur doosre par meharbaan baithe hain
In haseenayon ka bhi koi bharosa nahin
jaane kitne aashiq inke chakkar mein shamshaan baithe hain..

Kuchh tumhara likhta hoon

Chalo aaj main kuchh tumhara likhta hun
Kashti bhulkar kinaara likhta hun
alfaaz agar pasand na aayen to bata dena
main sab kuchh mitaakar dobara likhta hun..

चलो आज मैं कुछ तुम्हारा लिखता हूँ
कश्ती भूलकर किनारा लिखता हूँ
अल्फ़ाज़ अगर पसंद ना आएँ तो बता देना
मैं सब कुछ मीटाकर दोबारा लिखता हूँ..

Saturday 30 May 2015

My Umbrella

kuchh samay se main apne saath har waqt ek chhaata rakhta hun
Bemausam baarish ka bhaiy jo bana rehta hai
Ye chhaata mujhe is baarish mein bheegne se to nahin bacha paata magar
Ek tasaali zaroor rehti hai ke koi saath khada hai..