Wednesday 24 June 2015

Aakhir kyon?

Ye shabd hi reh jayenge, is liye likh raha hoon
Ek din sab chale jayenge, kis-liye likh raha hoon?
Nahin jaanta koi padhne waala hoga ya nahin
Shaayad khuda ke kaam aayenge is liye likh raha hoon..

Tuesday 23 June 2015

The Last Installment

Paai-paai jod wo shakhs uske umr bhar ke khaane ka jugaad kar gaya
Jise wo kehti rehti thi ke pyaar khane ko nahin deta
kaise mara kisi ko pata nahin, laash mili thi usi mohtarma ke darwaaze par
Na koi chot ke nishaan the na koi zakhm tha shareer par, 
Haathon mein ek noton ki gaddhi mili thi
kuchh mude hue kuchh ungliyon se jude hue
aisa laga jaise aakhri waqt mein bhi wo bas paise gin raha tha...
Hothon par hasi bhi thi haste haste gaya hai shaayad
uski muskaan se yun laga ke jaise ye uski aakhri installment thi..

Daud

Zindagi ki tez raftar mein itna kho gaya tha
ke kai saalon tak maine khudka chehra nahin dekha
badhta raha behte hue paani ki tarah, kai chattanon se hokar guzra
Jo bhi peeche chhoota, use palat kar dobara nahin dekha

Kai darwaaze band the jo tod diye maine
kai bas naam ke sahaare bhi the jo chhod diye maine
Ek aandhi uda le gayi mujhe gira gayi samandar mein
Aisa samandar jo pehle kabhi maine mere yaara nahin dekha

Maana toda hai waqt ne mujhe andar se poora
magar abhi bhi main zinda hoon
Aur mere dil mein har wo shaqs zinda hai
Jinke jaisa koi aur maine dildaara nahin dekha...

Monday 22 June 2015

Tum Ho...

Saari raat tere khyaalon mein lipti hai, 
aur dinbhar hamen neend nahin aati hai
Ro leta hun kai baar Jab khud se haar jaata hun
Kabhi dil tez dharkta hai, kabhi ye saans rukti hai.

Wo manzar saamne aata hai, main aankhen khol deta hun
Tu mere paas hoti hai, main tere paas hota hun
Magar jab chhoona chahun to, tu phir se door jaati hai
Aaja ab kahin mat ja, ismen allah ki marzi hai.
Kabhi dil tez dharkta hai, kabhi ye saans rukti hai.

Maikhane chhod doonga main, Jaam saare tod doonga main
Aayega agar khuda bhi lene mujhe, use bhi mod doonga main
Main tujhse pyaar karta hun, tu mujhse kyun bigadti hai,
Kabhi dil tez dharkta hai, kabhi ye saans rukti hai...

D-Day

Maikhane band hain sab aaj dry day lagta hai
chalo aaj border chalkar peete hain
bina piye sote mujhe bada darr lagta hai..

Tuesday 16 June 2015

Sachaa aur Jhootha

Kuchh bhi achha ya bura nahin hota
Insaan insaan hota hai khuda nahin hota
Zindagi bhi chhoti si hai, sochkar jiyo ya jeekar socho
sab kuchh soch-samajhke karne ka bhi samaa nahin hota

Insaan hi likh raha hai, insaaniyat ki kitaab
Apraadhi wahi hai jo pakda gaya 
magar kai gunaahon ka, dharti par faisla nahin hota

Kahaani kahaan se shuru hogi aur kahaan jaakar khatam
Ye shaayad likhne waala bhi nahin jaanta
Marte wahi hain jinmen jeene ka jazba nahin hota

Har waqt kat-hare mein khade rehte hain ye mitti ki putle
Umr bhar sahi galat ki sunwaai karte rehte hain
Inke marne par kai aise bhi log rote hain
Jinhone kabhi inhen dekha nahin hota

Sach aur jhooth mein farak, maut aur zindagi jaisa hai
Insaan jhooth ka sahara lekar zindagi bhar sach se ladta hai
Aur Maut se insaan ka parichay kabhi dobara nahin hota..

Kya Badla Hai?

Kya badla hai?
Abhi bhi sapne dekhta hoon, 
Chonk-kar uth jaata hoon, toot jaane par
Phir se so jaata hun, dobara neend aane par

Kya badla hai?
Abhi bhi rooth jaaata hoon
subaha kisi ke jaldi jagaane par
phir maan bhi jaata hoon, chaaye ki pyaali aane par

Kya badla hai?
Abhi bhi ladta hoon
koi na samjhe agar samjhaane par
phir samjhata hoon, uske wahi galti dohrane par

Kya badla hai?
Abhi bhi pee leta hoon
Botal chhupa leta hoon, biwi ke aane par
Phir se peene lagta hoon, uske chale jaane par

Kya badla hai?
Abhi bhi sochta hoon
ke kon khyaal rakhega mere apnon ka, mere chale jaane par
Kya kuchh bhi nahin badlega, sab kuchh khatam ho jaane par??