Wednesday 10 June 2015

Aam Aadmi

Wo ja raha hai dekho zimmedaar aadmi
subaha se shaam office mein waqt kaatkar
Raat ko thak-kar so jaane waala,
Har roz ghar aur office ke kaam se ghira hai kabeeldaar aadmi

Kai baar to raat ko bhi chain se nahin so paata
baar baar kisi aahat ko sunkar uth jaata hai
yakeen jab hota hai use ke sab theek hai
tab jaakar aankh lagata hai neend se pehredaar aadmi

Mahine ke shuruwaat mein salary milne par khush rehta hai
10-15 din khoob udata hai ghar waalon ki zarooraton par
Khud shaam ko quarter laga leta hai
mahine ke aakhir mein thoda chidchida rehta hai ye dildaar aadmi
magar phir bhi manage kar hi leta hai, hai to hoshiyaar aadmi

Ghar pe biwi ki naukri karta hai aur baahar babu logon ki
Kai baar gusse ko pee jaata hai aur kai baar nikaal leta hai doston par
BAchpan ko yaad karta hai aur rota hai
kaise paala tha use maa-baap ne banakar 'sartaaj aadmi'
Aaj khudi hi ko wo maanta hai wo 'Gunehgaar aadmi'
Kar bhi kya sakta hai kyonki waqt ke haathon hai laachaar aadmi

Phir bhi isi dhun mein jiye ja raha hai
ke kisi ko khushi de paa raha hai, kisi ke liye kuchh kar paa raha hai
Duniya ke riti riwaazon se har waqt joojhta rehta hai
Zindagi ka saath chhodne par phoolon ki maala ki saath latka hai deewar aadmi



No comments:

Post a Comment