Showing posts with label Adhoore kaam. Show all posts
Showing posts with label Adhoore kaam. Show all posts

Thursday 25 August 2011

Adhoore Kaam



kuchh kaam adhore hain aur kuchh naam adhoore hain
kuchh galtiyon ke shaayad abhi anzaam adhoore hain
waqt karta hai byaan sabko, aur bata deta hai
ke kon se raaste par kiske, nishaan adhoore hain

chalo us raaste par jo manzil ki taraf ho
jahaan insaan sach mein insaan ho
warna har jagah dekhoge agar gaur se
to insaan adhoore hain, 
mere kuch kaam adhoore hain..


sab karte hain dharam ki baaten
koi nahin karta sabr ki baaten
ye sab ek mitti ke hain magar ladte hain
shayad yahaan hindu, sikh, isai aur musalmaan adhoore hain
mere kuch kaam adhoore hain..

sarhadon par jo ab tak mit chuke hain
unko shaayad hum bhool chuke hain
le jao inhen bhi jala do bech rahen hain desh ko
inke bina to shaayad shamshaan adhoore hain
mere kuchh kaam adhoore hain..

cricket khela, footbal khela, hockey khela
jahan dekha sab laga hai mela
isko bhi ik mela samjho, apne liye tabela samjho
are tumhare bina to ye ramleela maidan adhoore hain...

awaaz milao , awaaz uthao
sabko tum ye saaz sikhao
tum bologe to hindustan bolega, zara samjho logo
ke tum saath nahin to Anna ji ke paigaam adhoore hain

hum sab ke kuchh kaam adhoore hain...Jaago