Showing posts with label Sarhaden. Show all posts
Showing posts with label Sarhaden. Show all posts

Saturday 25 April 2015

Sarhaden


Sarhadon ke paar hum duniya se lad rahe hain

aur sahadon ke andar hum aapas mein jhagad rahe hain
Jo sarhadon ke andar hai, wahi baahar hai
phir ye sarhaden kyon hain..

Sarhad paar waale ko maaro to inaam hai
andar koi kisi ko maare to ilzaam hai,
kya farak hai dono mein maut to maut hai
agar sab hamaare haath mein hai to phir bhagwaan kyon hai

Sarhadon ke paar jab milte hain to ek ho jaate hain
aur andar rahen to anek ho jaate hain
baahar jaate hain to mulk ko yaad karte hain
Waapis aate hain to videshi ho jaate hain
Hamaari soch mein itni karvaten kyon hai...

Ab to ghar ghar mein yahi tasveer hai
Door ek doosre se reh nahin sakte
saath ek doosre ka seh nahin sakte
Chhoti-chhoti baaton ka gussa karte hain
Insaan ki itni alag-alag naslen kyon hain...

khatm karta hun in chaar paktiyon ke saath: 

Ye uljhi hui duniya ki tasveer mein hum apna makaan dhoondte hain
Doosron mein khushi, apnon mein gunaah dhoondte hain
kheech dete hain faaslon ki takeeren jahaan bhi chahte hain
Hum khud patthar hain, isiliye patthron mein khuda dhoondte hain..