Tuesday 28 August 2012

Life or death..??



Mulaakat kuchh aesi rahi hai meri zindagi se
na main use samjha na wo mujhe samajh paayi
aksar dono ki raah alag hi rahi hai
usne mele dikhae or mujhe mili tanhai
bikhar - bikhar ke sambhalne ki chaah mein rahe
e yaaro khatam karo ab ise, mujhe maut ke hawaale karo bhai...

Friday 8 June 2012

Ye Panne meri kitaab ke hain...



kuch peele aur kuch neele hue
kuch ukhde hain aur kuchh mude bhi hain
ye panne meri kitaab ke hain

kai baar palte kai baar maile hue
kabhi syaahi mein dhule kabhi chai ka ghoot bhara
kitni baar ukhde hain inko bhi pata nahin
kabhi apne lage to kabhi mehmaan se hain
ye panne meri kitaab........

likhte bhi hain inpe aur mita bhi dete hain
kabhi gusse mein inko jala bhi dete hain
phir kabhi inhen dil pe laga kar bhi soya hain
raat aur din se farak nahin ye yunhi bezubaan se hain
ye panne meri.............

saath na chhoda kabhi sab duniya chhod gaye
unke bhi kisse inn panno ki zubaan pe hain
kisi humsafar se kamm nahin bas ek saamaan se hain
ye panne meri kitaab.........

kabhi nakaab mein the ab duniya jaan gayi
ke hum is syaahi aur panno mein ghire hain
ye sab barke unke liye farmaan se hain
ye panne meri kitaan ke hain...

likhna seekho dard ko kubool karo
mat socho ye sab kalpana hain andar ki
likhne ka koi bhi usool nahin dosto
isiliye shayad ye shayar insaan se hain
ye panne meri kitaab ke hain...

Wednesday 18 January 2012

Aakhri Alvida



Tu jab na tha tab tujhe maanga maine
tu jab mila to main kisi aur ka hoon
tujhe dhoonda tha to main is chhor ka tha
tujhe paaya to main us chhor ka hun

kabhi aaya kabhi gaya tu sab kuchh le gaya
abhi main hi bacha hun magar kamjor sa hoon
kaata hai kathin waqt tere aane jaane ke beech maine
ab kaata nahin jaata main sirf jodta hoon

sannatton ko ab shor mein badla hai maine
zakhmon ko bhi ek chaadar se dhaka hai maine
tu ab waapis mat aana bhulkar bhi warna
mujhe shayad lagega ki main ek chor sa hoon

Monday 29 August 2011

Teri kasam

deedar e husn ke parinde aaj ud rahe hain
hum teri saanson ki dhun se jud rahe hain
samajh pao agar is paak nazar ke iraadon ko tum
main baadalon mein garmi kar doonga teri jaan ki kasam

khaak kaate hain jo waqt kaate hain tere bagair
tujhse suljhunga zindagi main sare dopahar
phir mat sochna ke kya achha tha ya bura
dosh humne bhi diye hain khudko mujhe bhagwaan ki kasam

jab se tu ho gayi hai us bheed mein shamil
aaj bhar aayi hai aankhen, na main katil na tu katil
gali mein nikale tu to log chand samajh lete hain
main tujhe heera samjha mere imaan ki kasam

bahut nazren hain nazron mein nazar hamari
ban jaayegi teri gali mein aaj kabar hamari
mat sochna ke main zinda nahin hoon
bhez dena mujhe aa jaunga waapis, mujhe tere farmaan ki kasam

chalo jo hua jaane do
waqt karta hai wafa jaane do
main reh loonga isi khwaab mein jo poora nahin hua
hota bhi to main mar jaata mujhe apni zubaan ki kasam..

Sunday 28 August 2011

Mujhe jeene ka mann hai


kya likhun ye soch raha hoon ab
in shaayron ne sab likh daala hai
mere paas kuch bacha nahin lekin
aaj likhne ka mann hai..

subaha uthta hoon kaam karta hoon
khana peena meetings aur phone
waqt jaise bahut sasta sa lgta hai
aaj ise bikne ka mann hai..

shaam hoti hai dost laut aate hain kaam se
sab apni kahani sunate hain aur guftgu chalti hai
roz ki baaten hain roz ke kisse hain
shayad in baaton ko nikalne ka mann hai

waqt phir nikla aur suraj doob jaata hai
shor kam ho jaata hai aur phir tham jaata hai
iski baat uski baat sunte hue shayad dil ghabrata hai
shayad ise behak jaane ka mann hai..

thoda haste hain, thoda jhagadte hain
thoda khate hain thoda peete hain
kab tak chalega ye sab zindagi se ladna
mujhe aaj laut jaane ka mann hai...

sab kuch hai aur kuch bhi nahin hai
ronak hai to mele hain warna hum akele hain
ye likhne se hi chain milta hai ab to
ismein aaj doob jaane ka mann hai..

bure kaam achhe kaam, main hairaan kabhi tu hairaan
tang si hai zindagi jagah chahiye
samet li hai jo is tanaav ne
aaj is janzaal ko kaatne ka mann hai..

chalo aaj ye panne palat deta hoon
chalo aaj ye zindagi badal deta hoon
kuchh alag karne ka sochta hoon
mujhe aaj phir jeene ka mann hai....