Thursday 25 August 2011

Adhoore Kaam



kuchh kaam adhore hain aur kuchh naam adhoore hain
kuchh galtiyon ke shaayad abhi anzaam adhoore hain
waqt karta hai byaan sabko, aur bata deta hai
ke kon se raaste par kiske, nishaan adhoore hain

chalo us raaste par jo manzil ki taraf ho
jahaan insaan sach mein insaan ho
warna har jagah dekhoge agar gaur se
to insaan adhoore hain, 
mere kuch kaam adhoore hain..


sab karte hain dharam ki baaten
koi nahin karta sabr ki baaten
ye sab ek mitti ke hain magar ladte hain
shayad yahaan hindu, sikh, isai aur musalmaan adhoore hain
mere kuch kaam adhoore hain..

sarhadon par jo ab tak mit chuke hain
unko shaayad hum bhool chuke hain
le jao inhen bhi jala do bech rahen hain desh ko
inke bina to shaayad shamshaan adhoore hain
mere kuchh kaam adhoore hain..

cricket khela, footbal khela, hockey khela
jahan dekha sab laga hai mela
isko bhi ik mela samjho, apne liye tabela samjho
are tumhare bina to ye ramleela maidan adhoore hain...

awaaz milao , awaaz uthao
sabko tum ye saaz sikhao
tum bologe to hindustan bolega, zara samjho logo
ke tum saath nahin to Anna ji ke paigaam adhoore hain

hum sab ke kuchh kaam adhoore hain...Jaago

Thursday 18 August 2011

Meri Subaha



Har subaha, ek nayi shuruwaat, naye khyaal aur naya chehra
raat ke daaman se churaye kuchh haseen lamhon ke saath aakar dastak deti hai
gaadiyon ki awaaz, rasoi mein bartano ka takrana, ek chai ki pyaaali ki khushboo
aankhen khulti hain us pankhe pe nazar utarti hai, saari raat jo mujhe chain se sulane ke liye chalta hai

kabhi socha nahin tha ke ye sab bezubaan cheezen bhi awaaz karti hain, tumse baat karti hain
shayaad pankha mujhe lori sunata hai, shayaad ye bartan mujhe jagane ke liye takrate hain
wo chai mere jism ko taaza karti hai, ye gaadiyan mujhe safar ke liye bulati hain
wo nal ka paani mere tan se wo lipti hui neend ki chaadar badalta hai

Hum Aazad hain??


Roz log marte hain, roz log jeete hai
hum azaad hain
corruption mein pale bade hain,corruption mein peete hain
hum azaad hain
sadak par bina license   ke nikalte hain bike pe
100 rs dete hain, hum azaad hain
pension nahin aayi, chappal gheeste hain
cut dete hain, hum aaazaad hain
munna bhai dekhte hain, bas gundda banana jaante hain
gandhigiri ko badnaam karte hain hum aazaaad nahin
har tuesday etc mandir jaate hain
parshaad chadhate hain, hum aazaad hain
business meeting mein jaate hain
ghoos dete hain business laate hain
hum aazaad hain
dry day hai, daaro dhoondte hain
black mein peete hain, hum azaad hain
munh pe mithu bante hain, peeth pe thokte hain
sochte hain ke sartaaz hain aur hum azaad hain
metter se chale ya na chale thoda zaldi hai
50 rupees faaltu le lena, hum azaad hain
saala mara-mara ke pet bharte hain, waat lag jaati hai
din bhar thak ke so jaate hain, hum aazaad hain
koi kare to bhi bura, na kare to bhi bura
kahaan se aayegi achhai, magar hum azaad hain
sab ladkyion ko ek nazar se dekhte hain
kya bolun ismen sab jaante hain, phir bhi hum azaad hain
pursuing MBA likhte hain aur job pa lete hain
client ko sapna dikhate hain aur hum aazaad hain
ticket confirm nahin hui, TT ke paas jaate hain
wahaan bhi khilaate hain magar hum aazaad hain
roz marte rehte hain jeene ki liye, phir bhi udaas hain
kya paisa hi sab cheezon ka hal hai, kya koi cheez nahin hai jo bik nahin sakti
sab jaante hain insaaniyat ki paribhasha
phir bhi anjaan hain
isiliye hum aaj shayad azaad hain
waqt sabko sikhata hai aur dikhata hai
kya humne kabhi sheeshe mein khudko dekha hai
ke kaise lagte hain hum ek jhooth ke putle
har taraf jalan hai, andhera hai
kya zameer hamara naapaank hai.....
sry...but dil pe mat le yaar...chill
sach ye hai ke ..hum apne aap se naaraaz hain

Thursday 11 August 2011

Maile hain ye Cheerag inhen roshan kardo


Yunhi bujhe bujhe se the aur yunhi bujh gaye
ye chirrag bahut maile se hain, inhen roshan kar do

kaali raat mein jo dikhate hain raasta
maili chaarpai, sooni daastan
ek chaadar to daalo, inhen makhmal kardo
maile se hain chiraag, inhen roshan kar do

so jaana munasib nahin hoga abhi waqt baaki hai mera
dekhenge tamaashe ye kasoor hai fitrat ka
na uljho is tamashe mein itna ke sangeen kardo
maile hain kuch cheerag, inhen roshan kardo

chalo waqt se na khelo so jaane do
is neend ke samandar mein doob jaane do
mere khyaalon mein aakar mujhe rangeen kardo
maile hain kuchh cheerag inhen roshan kardo

gehri neend lun ya chhoti neend lun
ye neend bhi tukdon mein aati hai huzur
mere sirahne thoda sa paani rakhdo
maile hain kuchh cheerag, inhen roshan kardo

tum bhi doobo ismen ab main so chuka hoon
mat socho ke likh raha hoon, main so chuka hoon
meri rooh ko aaz tum zameen kardo
maiel hain kuch cheerg, zara roshan kardo

Zinda



Lekar sapne apni aankhon mein chale ujaalon ki aur
kadam zahaan pade wahaan raaste ho gaye
dil ko agar baandh kar na rakho to zinda ho tum

is shor mein bhi ek sangeet agar tum sun pao
is dariya ke paani mein agar tum tar jao
jeene ka agar shauk hai to zinda ho tum

sab darwaaze jo band hain khol do unko
sab shaks jo weham karte hain boldo unko
agar soch se aage kar paaye to zinda ho tum

saahil ko rehta hai ek tinke ka sahaara
na bano maajhi aur na bano kinara
ban jao agar samandar to zinda ho tum

Sunday 31 July 2011

Mere Khayaal



Aao mere khayalo tumse kuchh baaten kar loon
apne kuchh to kaam adhoore, poore kar lun..

main hoon tanha, tum bhi ho ,chalo sab milte hain
kahin door aaj jahaan bhi bolo, hum milte hain
tum hi bolo shuru karo kuch, ya main karlun

aao mere khyalo........kuchh baaten karlun

din hai mera raat tumhari, wo saari saugaat tumhari
dhalte dhalte dhal jayegi ye umar bhi saari
jaane se pehle main apna kuchh naam to karlun


aao mere khyalo......kuchh baaten karlun

main na badla, tum bhi na badle, waqt hai badla
kabhi saath raha kabhi door raha, har shaqs hai badla
aao in sab logon ke main chahre padhlun...

aao mere khyalo....kuchh baaten karlun..

jeena kya hai marna kya hai, sab karte hain
kabhi aise to kabhi waise, haan sab marte hain
tumko main in dharkano mein zinda rakhlun

aao mere khyalo....kuchh baaten karlun

Wednesday 13 July 2011

No Smoking



Kharida, jalaaya, piya aur bujhaya
peete hi saara jahaan bhulaya
kuchh nahin hai khaas ismen
bas zor se kheecha aur dhuan udaaya...

peete dekha hai, pilate dekha hai
phoonkte dekha hai aur bujhate dekha hai
kisi ne gusse mein ise piya aur
kisi ne pyaar se ise sulgaya
kya mila kisi ko pata nahin ismen
magar sab kehte hain ke khoob maza aaya...

kisi ne sone ke liye piya aur kisi ne ise jaagne ke baad uthaya
kabhi bhala to kabhi bura farmaya
magar aaj bhi main samajh nahin paata hoon ke
peene ke baad ise kisi ne kya paaya
magar baat ek aur bhi hai ke jisne nahin piya
usne bhi hoga kabhi dhuan udaya..

ye cigarette hai dosto jiski main baat kar raha hoon
chhodne ka mann nahin tha magar chhodi
kyonke mere biwi ne aate hi
'No - Smoking' ka board lagaya..

Tum bhi mat peena dosto ye aadat buri hai
isi liye company waalon ne bhi ise
injurious to health bataya...

Jaanta hoon ke mushkil hai magar
yahi hai jisne hamen apne jism ka dushman banaya

dikha dete hain ab ke hum ghulam nahin hai iske
us mulk ke aazaad hain jahaan
baapu ne hamaare dushmaon ko maar bhagaya

Smoking kills....!!