Saturday 22 November 2014

Bezubaan Shayar


Be-zubaan hoti hai ik shaayar ki zubaan bhi, 
Sab kuchh likhta hai magar, bol kuchh bhi nahin paata.

Yaad


Baat mehaz itni si thi ke wo hamen yaad nahin karte
Aaj aalam ye hai ke hum unhen be-intehaan yaad aate hain

waqt ne ki wafaa jo ye mausam aaya,
mazaar par hi sahi, mujhse milne mera sanam aaya 

Give & take


kuchh bhi maang lo mujhse aaj main de doonga

magar kal jo main maangunga, use na mat karna..

Sunday 29 September 2013

Aahat

Yahi aahat thi jise sunkar kabhi hum ghum ho jaya karte the
Aaj meri rooh bhi kaamp uthati hai, tere aane ki khabar se...

Seekh Le

Laashen bhi uthi hain kai baar mere jazbaaton ki magar mein zinda hun
kisi ne mujhse kaha tha kabhi ke is duniya mein jeena hai to marna seekh lo...

Shuruwaat

Unse jab bhi baat hui hai, koi alag shuruwaat hui hai
pyaar to main nahin keh sakta lekin, kuchh to aage baat hui hai...

pehle kabhi, phir kabhi-kabhi aur ab har ghadi
pata nahin kya hua, magar din mein lage ke raat hui hai
meri bhi kuchh baat hui hai...

baaten bhi hain, kisee bhi hain aur taane bhi
khush thi wo to, par maine samjha, naazraaz hui hai
kahin kuchh to ek aawaaz hui hai...


yahi sama hai, yahi hain din bhi, baaki sab kya tha
na pehle tha na baad mein hoga, sab tanha tha
kis baare mein baat karun ab, meri to baarat hui hai
are ruko, abhi to shuruwaat hui hai...