Saturday 25 April 2015

Sarhaden


Sarhadon ke paar hum duniya se lad rahe hain

aur sahadon ke andar hum aapas mein jhagad rahe hain
Jo sarhadon ke andar hai, wahi baahar hai
phir ye sarhaden kyon hain..

Sarhad paar waale ko maaro to inaam hai
andar koi kisi ko maare to ilzaam hai,
kya farak hai dono mein maut to maut hai
agar sab hamaare haath mein hai to phir bhagwaan kyon hai

Sarhadon ke paar jab milte hain to ek ho jaate hain
aur andar rahen to anek ho jaate hain
baahar jaate hain to mulk ko yaad karte hain
Waapis aate hain to videshi ho jaate hain
Hamaari soch mein itni karvaten kyon hai...

Ab to ghar ghar mein yahi tasveer hai
Door ek doosre se reh nahin sakte
saath ek doosre ka seh nahin sakte
Chhoti-chhoti baaton ka gussa karte hain
Insaan ki itni alag-alag naslen kyon hain...

khatm karta hun in chaar paktiyon ke saath: 

Ye uljhi hui duniya ki tasveer mein hum apna makaan dhoondte hain
Doosron mein khushi, apnon mein gunaah dhoondte hain
kheech dete hain faaslon ki takeeren jahaan bhi chahte hain
Hum khud patthar hain, isiliye patthron mein khuda dhoondte hain..

Ye Raat


Raat nikli andhere se pareshan hokar
Ja mili ujaale se subaha hokar
shaam dhali to bichhdi ujaale se
phir ja mili andhere se fanaah hokar

Saturday 11 April 2015

Wo Lamhe Wo Raaten


kharch kiye kuchh lamhen maine teri yaadon ke baazar mein
aur khareed liye kuchh sapne subaha hone ke intezaar mein,

Neend bhi tooti meri, jahaan-jahaan dil toota
sab jakhm bhi hare hue, aur aakhir mein ye sapna toota

phir se shaayad main phas gaya, usi majhdaar mein..

baat karunge to baat niklegi door talak
baat sunoge to baat adhoori reh jayegi,
kuchh kisse shayad kabhi poore nahin hote
reh jaate hain pyaase kai maajhi, lehron ke pyaar mein..

Kehte hain ke pyaar wo daulat hai jo kharch karne par badhti hai
koi sikke ya asharfiyan nahin, jo milti hain kisi raja ke darbaar mein...
humne bhi khoob lutayi ye daulat magar gareeb hi rahe
kuchh bhi hamara na chhoda, us mili juli sarkaar ne.

kuchh panktiyon ke saath ise khatam karunga, raat bahut bhaari hai,
ke peekar nikaal diya ya nikaal kar pee gaya,
tujhe main is paimaane mein daal kar pee gaya,
khatam hui to har kisi ne jaam patka
aur main ashiq aakhri boond se peg banaakar pee gaya..

Rishte


Har baat bol kar bataana zaroori to nahin Rizwaan,
kabhi kabhi chup rehkar bhi haale dil bayaan hota hai..

Izhaar-e-mohabbat bhi har baar alag hoti hai
kai baar ye sab Nazron ka anumaan hota hai..

kai rishte bune jaate hain pehli hi nazar mein
kabhi-kabhi dil bahut jaldi baimaan hota hai..

Ye jaroori bhi nahin ke har rishta atoot ho
kuchh toot kar phir jud bhi jaate hain,
Ye baat bhi sach hai ke
bure waqt mein kaam aaye rishte par maan hota hai

Magar ek sawaal mere dil ko bahut pareshaan karta hai
ke rishte hum khud hi banaate hain aur khud hi todte hain
Phir kyun har rishta tootne par badnaam hota hai??

Yahi hota pyaar hai kya


Jaane kya mujhse ye zamaana chahta hai
Mere jism ko rooh se alag kar, use mitaana chahta hai

Wo nikli hai bheed dekho mujhe maarne ke liye 
Wo ek shaks kon hai us bheed mein akela

Wo unhen kuchh samjhaana chahta hai
Shayad wo mera yaar hai, mujhe bachana chahta hai

Mat roko unhen mere yaar, aane do, dekhta hun main bhi
ke kitna dum hai mere pyaar ki taakat mein
Bhagwaan shayad mujhe ab aazmaana chahta hai..

Ye log waise bhi hamen yahaan jeene nahin denge
Mar gaya to tum bhi aa jaana upar suna hai wahaan koi rok-tok nahin hai
isiliye shaayad rab hamen upar bulaana chahta hai

Ye kya hua magar ke ye bheed wahin tham gayi hai
Na koi shor hai, sab ki aankhon mein kuchh nameen si hai
wo mera yaar hai nikla mujhe chhodkar khuda se milne
Wo bhi aaj mujhe shayad haraana chahta hai

wo log ab ek doosre ko kaat rahen hain
Ye kya log hain rabba tune kya bana diya
Mere yaar ki laash ka bhi ye log batwaara chahte hain
koi use jalaana to koi dafnaana chahta hai..

Friday 3 April 2015

Badlapur


Main guzra aaj phir teri gali se, aur kuchh tanha sa laga
shaayad ab wahaan tanhai rehti hai,
Mili kuchh mehak teri baaton ki bhi jo zinda hain wahaan,
magar aaj unmen ruswai si rehti hai..
Wo kachchi mitti ki deewaren jihne taap kar tera deedar hua karta tha
wo badal gayin maidan mein wahaan ek chaarpai si rehti hai...
Zara bhi magar nahin badla tere ghar ka wo aangan
teri tarah wahaan bhi bewafai si rehti hai,
Guzaari thi kai tanha raaten zahan tere intezaar mein roshni
aaj wahaan andheron ki ek razai rehti hai..
Ye sirf khayaal nahin hain ye mere dil ke tukde hain
aaj yahaan mere toote hue sapnon ka baazar bhi laga hai
Khiraddar aate hain aur jaate hain khaali haath
bhare baazaaar mein bhi meri dukaan karzaai si rehti hai
Tu hi bata de mujhe e maula ke ye dukaan kahaan chalegi
aaj tak jahaan bhi kholi wahaan udhaar badhta raha hai
mere asool badal de ya ye duniya badal de
Warna mujhe lagega ke tu sirf kitaabon mein chhupa hai
aur bahaar bas teri parchhai si rehti hai..

Backbiting


Tha akela hai akela aur akele jaana hai, 
phir bhi na jaane kyun log doosron ki baat karte hain?

था अकेला, है अकेला और अकेले जाना है,
फिर भी ना जाने क्यूँ लोग दूसरों की बात करते हैं?