Tuesday 16 June 2015

Talaash

Main roz nikalta tha teri talaash mein anjaan raho par
Tera ishq beh raha tha jahaan un tez hawaon par
Magar tune har waqt mere saaye se yun parda rakha
Jaise kisi rooh ne khudko jism se juda rakha

Kadrdaan nahin tha us waqt zamaana mere hunar ka
Mere jism ne bhi diya saath khudko bhook se ruswa rakha
main bhatakta raha dar badar apne ishq ka janaaza lekar
Maine Dard ka naam tab khuda rakkha...

Meri Adhoori Kahaani

Sooni mehfil mein, yaarana dhoond raha hoon,
jahan is dil ka ho basera, wo thikaana dhoond raha hoon

Suna hai ek chinggari ne kai ghar jalaaye hain
Ek bewaafa dil mein, deewana dhoond raha hoon

Na koi dost hai mera na dushman hai
Jo kabhi mujhe pehchaan paaye, wo zamaana dhoond raha hoon

Dard-e-gham ki lat lagi hai, ishq-e-samanddar ki talaash hai
Jo bujha sake meri pyaas, wo mainkhana dhoond raha hoon

Doosron ke kandhe par sar rakh ro na saka
Apne andar hi main ab kuchh shaayrana dhoond raha hoon..

Monday 15 June 2015

Move On

Hue naakam to kya, niklenege safar pe phir se ik baar
Tu saath na de mera to kya, mujhe to jaana hai us paar

In khali mehfilon ka main saamaan nahin hun
is tooti hui botal ka main jaam nahin hun
Chhoo kar zara tu dekh mujhe main insaan nahin hun
mera koi rab nahi, aur na hi koi sansaar
Tu saath de na de, mujhe to jaana hai us paar
Hua naakam to kya, niklenege safar pe phir se ek baar

Shikayat na tujhse hai meri koi, na zamaane se hai
bhujh gaye hain shaayad kuchh mere waqt ke diye
main khud hi ab aandhi ban chala hun
sab bhuje diye udaakar apne saath le chala hun
tu roshan karne ki inhen koshish na kar
ab ho jaane de mera toofan se takraar
tu aaye ya na aaye, mujhe jaana hai us paar
Hua naakam to kya, niklenege safar pe phir se ek baar..

Sunday 14 June 2015

Pyar Ishq Aur Mohabbat

Kaisa pyaar hai sab kuchh bhula deta hai
Jab tak milta nahin hum use dhoondta rehte hain
Jab mil jaata hai to khud ko dhoondana padta hai

Kaisa pyaar hai sab kuchh hila deta hai
Jab tak nahin hota to log bewakoof samajhte hain
Jab ho jaata hai to log tumhen khojte hain

Kaisa pyaar hai pal mein rula deta hai
Jab tak saath chalta hai, khoob maza deta hai
Aur jab bichhadta hai, to khoob maza leta hai

Kaisa pyaar hai? chain se jeene nahin deta
Jab tak nahi hai to zindagi ki fikr nahin hai
jab ho jaata hai to ek bhi pal sabr nahin hai

Kaisa pyaar hai? Mazboor bana deta hai
Zindagi jeetne chala insaan dil haar jaata hai
deemaag jeene nahin deta aur dil ke haathon mazboor rehta hai

Kaisa Pyaar hai? Jo likhna sikha deta hai
Jab tak nahin tha to sunta rehta tha doorson ke kisse
hone ke baad khud kahani ban chuka hun...

Friday 12 June 2015

Ye Duniya Pittal di

Suna hai zindagi jeene ki bhi koi tarkeeb nahin hai
Har koi talaash raha hai, magar mili nahin hai
mandir masjid mein rishwat dekar luck kharide jaate hain
Poori ho muraad to hai aur na ho to khuda nahin hai

Jeete jaagte ki to har harkat buri hai
marr jaaye koi to bhala aadmi wahi hai
jo dikhta hai wo bikta hai yahaan
khuli aankhon pe bhi shaayad patti bandhi hai

Sach aur jhooth ka faisla koi nahin kar paaya ab tak
na sahi aur galat hai kuchh bhi
jo karm kisi ke liye achha hai, wo kisi aur ke liye bura hai
aur ye sab tai karna waala shaayad is dharti par nahin hai..

Thursday 11 June 2015

Kites

Chheen leta tha wo jab bhi koi kati patang loot kar laata tha main
bada tha mujhse main uski bahut izzat karta tha
wo sootata tha dor aur mere haath mein haandi diya karta tha
udaata bhi wahi tha, aur mujhe charkhi pakda diya karta tha

Use koi aawaaz deta tha to patang main sambhalta tha
idhar udhar na karna bolkar jaata tha
phir koi patang aakar mera patang kaat deti thi
Aur main dor sameta karta tha

Ek din khud se hi patang udaane ki soch baitha
dor nahin thi mummy ki machine ke dhaaga soot liya
patang nahin tha ghar pade polythene se bana liya
Aur udaakar maine patangg sambhaal liya

sach nahin maanoge pehli patang usi ki kaati thi
jise dor kabhi sootani nahin aati thi
mujhe ilzaam diya karta tha, use kuchh gyaan nahin tha
udaane ka style tha bas, dor mein bhagwaan nahin tha..

Wednesday 10 June 2015

The Unpredictable Wife

Zakhmon pe namak lagaana to koi unse seekhe
bujhi aag sulagaana koi unhi se seeekhe
Jab bhi bolte hain kuchh anokha bolte hain
Aur bol kar mukar jana bhi koi unse seekhe

Kuchh bhi ho magar sab kuchh achha lagta hai
unke ladne mein bhi pyaar jhalakta hai
Aur ladne ke baad jab muskuraate hain apni harkaten yaad karke
ek pal mein badal jaana koi unse seekhe

Galti kisi ki bhi ho sorry humse bulwaate hain
Chaaye banwaani ho to maska bhi attitude mein lagaate hain
Aisa nahin ke gussa sirf unhen hi aata hai
Mere gussa hone par shaant ho jaana koi unse seekhe

Dost banane mein mahir hain ye aur dosti todne mein bhi waqt nahin lagaate
Zara sa koi bura lag jaaye to uska kabhi phone nahin uthaate
Haan magar kisi ki madad karne mein bhi nahin ghabraate
Dushmanon se bhi dosti nibhana koi unse seekhe

Cooking ka bhi shauq hai inhe magar experiment bahut karte hain
kai baar zyaada achha banaane ke chakkar mein bura ban jaata hai
Dil rakhne ke liye hum tareef kar dete hain magar wo chehra padh lete hain
Khud ki hi galti pe naaraaz ho jaana koi unse seekhe

Shopping pe to chahe inhen roz le jaao kabhi thakte nahin hain
phir bhi kisi function mein jaana ho to inke paas dress nahin hai
Almiraah dekhoge inki to haath ghusaane ki jagah nahin hai
Ghar pe kapdon ki dukaan lagaana koi inse seekhe :)