Showing posts with label shayari blog. Show all posts
Showing posts with label shayari blog. Show all posts

Saturday 2 December 2017

Patthar Ke Sanam (पत्थर के सनम)


Mera dil patthar ka hai, chalo maan liya,
Magar diya bhi to tumne hi tha...!!!

मेरा दिल पत्थर का है, चलो मान लिया,
मगर दिया भी तो तुमने ही था...!!!

Tu Sapna Hai Ya Haqeeqat Hai..??


Kai baar tere khawaabon ke darwaaze par dastak di hai maine,
magar kabhi tere sapnon ne bhi mujhe apna nahin samjha..!!!

कई बार तेरे ख्वाबों के दरवाज़े पर दस्तक दी है मैने,
मगर कभी तेरे सपनों ने भी मुझे अपना नहीं समझा..!!!

Swag


Aandhiyon ko maine dil mein chhupa rakha hai,
toofanon ko maine honsla bana rakha hai
ek barsaat bachi hui thi bas
use aankhon mein kaid kar, aaina bana rakha hai..!!

आँधीयों को मैने दिल में छुपा रखा है,
तूफ़ानों को मैने होसला बना रखा है
एक बरसात बची हुई थी बस
उसे आँखों में क़ैद कर, आईना बना रखा है..!!

Monday 20 November 2017

Tanha Dil


Kya hua jo kuchh phool maine, Tod liye tanhaiyon ke, 
bahut baar password diye the maine tumhen, apne dil ki gehraayion ke..!!!

क्या हुआ जो कुछ फूल मैने, तोड़ लिए तन्हाइयों के, 
बहुत बार पासवर्ड दिए थे मैने तुम्हें, अपने दिल की गहराइिओं के..!!!

Mysterious Girl




Shayad isi liye main use itna pyaar karta hoon, 
kyon ke wo bilkul bhi mere jaisi nahin hai...!!!

शायद इसी लिए मैं उसे इतना प्यार करता हूँ, 
क्यों के वो बिल्कुल भी मेरे जैसी नहीं है...!!!

Friday 17 November 2017

Rishte (Relations)

Khud ko kahin badalna padta hai
bahut naazukta ke saath chalna padta hai
Ye rishte aise nahin bante pagli
Bahuton baar marna padta hai..!!

Ek umr deni padti hai
ek saath chalna padta hai
Dheere dheere hi mazboot hoten hain
Ye rishte aise nahin bante pagli
bahut baar marna padta hai..!!

tootkar jude to gaanth reh jaati hai
chot ka ghaav hamesha rehta hai
bharne mein kai saal lagte hain
Ye rishte aise nahin bante pagli
bahut baar marna padta hai..!!

खुद को कहीं बदलना पड़ता है
बहुत नाज़ुकता के साथ चलना पड़ता है
ये रिश्ते ऐसे नहीं बनते पगली
बहुत बार मरना पड़ता है..!!

एक उम्र देनी पड़ती है
एक साथ चलना पड़ता है
धीरे धीरे ही मज़बूत होटें हैं
ये रिश्ते ऐसे नहीं बनते पगली
बहुत बार मरना पड़ता है..!!

टूटकर जुड़े तो गाँठ रह जाती है
चोट का घाव हमेशा रहता है
भरने में कई साल लगते हैं
ये रिश्ते ऐसे नहीं बनते पगली
कई बार मरना पड़ता है..!!

Rules For Life




Kuchh usool jeene ke mujhe bhi sikhaade e khuda, 
kyon har adaalat mein main sabko gunehgaar sa lagta hoon..!!!

कुछ उसूल जीने के मुझे भी सिखादे ए खुदा, 
क्यों हर अदालत में मैं सबको गुनेहगार सा लगता हूँ..!!!

Tuesday 14 November 2017

Samjho na kuchh to samjho na



Ab wo bhi shayari likhne lagi hai,
chalo achha hai ke, 
mujhe samajhne ki usne kuchh to koshish ki..!!

अब वो भी शायरी लिखने लगी है,
चलो अच्छा है कि,
मुझे समझने की उसने कुछ तो कोशिश की..!!

The Truth Is Dead




Sach mar chuka hai aur sachai ko aag lagi, 
na to main sach hua aur na sach main hua..!!!

सच मर चुका है और सचाई को आग लगी, 
ना तो मैं सच हुआ और ना सच मैं हुआ..!!!

Life is Hell


Apni Zindagi ko kaise ujaadana hai,
Unhin se seekho, jinhen isko sanwaarna hai..!!!

अपनी ज़िंदगी को कैसे उजाड़ना है, 
उन्ही से सीखो जिन्हे इसको सवारना है..!!!

La-ilaaz (ला-इलाज़)



Ye daaroo mere zakhmon ki dawa nahin hai,
Main to peeta isliye hoon ke inhen taaza rakh sakun..!!

ये दारू मेरे ज़ख़्मों की दवा नहीं है,
मैं तो पीता इसलिए हूँ के इन्हें ताज़ा रख सकूँ..!!

Sunday 6 August 2017

It's Me


Mujhe samajhna hai to dil ke do tukde karlo "Naseeb"
Ek ruka to doosra dhadkega, aur tum Jee jaoge..!!

मुझे समझना है तो दिल के दो टुकड़े करलो "नसीब"
एक रुका तो दूसरा धड़केगा, और तुम जी जाओगे..!!

Vision

Lete chalo jahaan se bhi gyaan mile
Badhte chalo jaahan-jahaan hindustan mile
Dikkaten aur rukaawaten to aani jaani hain
Badal daalo Zameen mein jahaan par bhi Aasmaan mile..!!

लेते चलो जहाँ से भी गयाँ मिले
बढ़ते चलो जाहान-जहाँ हिन्दुस्तान मिले
दिक्कतें और रुकावटें तो आनी जानी हैं
बदल डालो ज़मीन में जहाँ पर भी आसमान मिले..!!

Tuesday 1 August 2017

Mood

Kabhi kisi baat se rooth jaata hai
kabhi usi baat se farak nahin padta
Insaan bhi ajeeb machine hai,
mood ke hisaab se chalta hai..!!
कभी किसी बात से रूठ जाता है
कभी उसी बात से फरक नहीं पड़ता
इंसान भी अजीब मशीन है,
मूड के हिसाब से चलता है..!!

Tuesday 31 January 2017

OUT OF PLACE

Sabha mein aaye sabhi log bahut gaur se sun rahe the uski baaten
Ik bechain nazar magar, idhar se udhar ho rahi thi
Bheed mein chhup rahi thi, kabhi door ho rahi thi...!!

Baaten ansooni kar main bhi bechain hone laga ke aakhir maajra kya hai
Paas jaane ki koshish mein maine use kahin kho diya
Dhoondta raha use bheed mein aaye har shaqs mein, magar wo kahin na thi..!!

Mann baandh kar main phir se apni jagah par lauta dhyaan lagaane ke liye
Mud kar phir se meri nigaah ne uspe waar kiya
Aur wo bechain nazren phir se kisi ki talaash mein thi..!!

Ghar lauta poori raat main so nahin paaya
Phir dil ko thaama bolkar ke mann ka waham hoga
Dil ne samjha magar kab tak rokta
Agle hi din phir se sabha mein ja baitha
Aur meri bechain nazren idhar se udhar ho rahi thi...!!

सभा में आए सभी लोग बहुत गौर से सुन रहे थे उसकी बातें
इक बैचाईन नज़र मगर, इधर से उधर हो रही थी
भीड़ में छुप रही थी, कभी दूर हो रही थी...!!

बातें अन्सूनि कर मैं भी बेचैन होने लगा के आख़िर माजरा क्या है
पास जाने की कोशिश में मैने उसे कहीं खो दिया
ढूनडता रहा उसे भीड़ में आए हर शक़स में, मगर वो कहीं ना थी..!!

मॅन बाँध कर मैं फिर से अपनी जगह पर लौटा ध्यान लगाने के लिए
मुड़ कर फिर से मेरी निगाह ने उसपे वार किया
और वो बेचैन नज़रें फिर से किसी की तलाश में थी..!!

घर लौटा पूरी रात मैं सो नहीं पाया
फिर दिल को थामा बोलकर के मॅन का वहाँ होगा
दिल ने समझा मगर कब तक रोकता
अगले ही दिन फिर से सभा में जा बैठा
और मेरी बेचैन नज़रें इधर से उधर हो रही थी...!!

Wednesday 29 June 2016

Respect


Garaj itni bhi nahin hai ke sab mujhe salaam kare,
khuda ka banda hun thodi tehjeeb se baat karo..!!

गरज इतनी भी नहीं है के सब मुझे सलाम करे, 
खुदा का बंदा हूँ थोड़ी तहज़ीब से बात करो..!!

Tuesday 10 May 2016

Piyo Re


Main pee leta hoon, jaanta hoon ke use ye pasand nahin..
Magar kyon peene ki wajah ko mera peena pasand nahin..!!

मैं पी लेता हूँ, जानता हूँ के उसे ये पसंद नहीं
मगर क्यों पीने की वजह को मेरा पीना पसंद नहीं..!!

Friday 29 April 2016

Main Galat hoon, to kaun sahi?



Main ye nahin kehta ke mujhse galatiyan nahin hoti,
Magar tum bhi to maano ke tum khuda nahin ho..!!


मैं ये नहीं कहता के मुझसे ग़लतियाँ नहीं होती,

मगर तुम भी तो मानो के तुम खुदा नहीं हो..!!

Monday 11 July 2011

Tera naam lekar

Maine piya hai jaam tera naam lekar
maine kiya ye kaam tera naam lekar

Tu yaad kare ya na kare
main jeeta hoon har shaam tera naam lekar

Tujhe koi kahe to maan lena
ke main kho chuka imaan tera naam lekar

khud ko paane mein zindagi beet gayi
magar paaya hai inaam tera naam lekar

Ab to likhne bhi laga hoon dekh teri yaad mein
ab badla ye insaan tera naam lekar

Shor

Ye shor jo uth raha hai
Ye shor jo ghut raha hai
Bahut farak hai dono mein
Kyonki ek uth raha hai aur ek ghut raha hai
Aur ek shor mere andar hai
ye shor ab toot raha hai, ye shor ab chhup raha hai

Maine jab hosh sambhala tab is shor ko apne andar paaya
Ye bahar nikla tha ek bacha bankar
Phir ubhra jawaani bankar
Kabhi dost bankar kabhi naadaani bankar
Ab is shor ko dhoondta hoon main
Jo reh gaya hai ek kahaani bankar

Tum ise shor kahoge ya zindagi
mere liye to ye ek chor hai
Jo aaya, dikhaya, sikhaya
Aur chala gaya ek nishani bankar

Is shor ko main bahut yaad karta hoon
ye dobara aayega ya nahin aayega, pata nahin
Magar chahta hoon ke ye aaye ab
To bas meri zindgaani bankar..