Thursday, May 7, 2015

Zindagi yun hui basar tanha


Zindagi ab main kuchh is tarah se jee raha hun
ke jaane anjaane mein jo kuchh peechhe chhoota ya toota hai
Use ikattha kar zod raha hun aur sil raha hun
aesa nahin hai ke sab kuchh poorana rakha hai mere paas
haal hi mein main kuchh naye navele chehron se bhi mil raha hun

Kai baar lagta hai ke badi door nikal aaya hun main khud se
aur kabhi lagta hai ke aaj hi main badru se mil raha hun
badi ajeeb se khayaal rehte hain mere mann mein
kai baar likhkar nikaal deta hun, kai baar peekar jhel raha hun

Meri zindagi ki daastan hi kuchh aise hai jo main kuchh panktiyon mein bayaan anhin kar paaunga
tukda tukda jiya hun tukda tukda hi likh raha hun

Wo dhai Saal

zindagi bhar mujhe yaad rahenge ye dhai saal,
waqt guzra jaise hawa guzarti hai paas se
zindagi kuchh aise bikhari jaise tooti hui koi kaach ki bottle
mat poocho kaise guzaare wo lamhen, poochh na paaye kabhi khud ka haal..
yaad rahenge mujhe ye dhaai saal...

bewaqt rukaawaten, berukhi ka mausam aur bezubaan raaten
koi nahin paas, hum dono bhi jaise zinda laashen
bahut garze aur barse ek doosre par, bahut roye aur chillaaye
baaten bani, baaten bigadieen, zindagi chali behar haal,
mat poocho kaise guzre wo dhai saal..

Thi umeeden bhi jo jindagi se wo toot gayin
jo sapne sajaye sab choor ho chuke the,
hum paas bhi the aur door bhi the
samajah nahin paaye the ye zidagi ka asali rrop hai ya janjaal,
shukr hai ke beete wo dhai saal..

jahaan gaye tamaashe hue, jahaan na gaye wahaan bhi bure
itna sochne ki taaqat bhi nahin thi, na deemaag par zor daala
bas ek doosre ka haath thaam aur kood gaye
aaj baahar nikale kitni mushakkat se, aaj mile hain gulzar,
tujhse hi seekhi maine zindagi, tune mujhse jeena
ab aae koi bhi saamne mai ka laal..
bahut ajeeb the magar zindagi ka raaz bata gaye wo dhai saal...

Daal aur kankkar

khate khaate aaj meri daal se kankkar nikla
mujhe laga ke uski nigaah kuchh kamzor ho gayi hai
phir mere bete ne mujhe bataya ke kal shaam se usne kuchh nahin khaya
aur kal se wo ro rahi hai

maine wazah poochhi to boli ke ab main use waqt nahin deta
saara din likhta rehta hun, use pyaar nahin karta
sunkar hasa bhi aur achha bhi laga is umr mein bhi pyaar barkaraar hai

Phir samjhaya use ke main use ab bahut achhe se samajh paaya hun
uske liye hi likh raha hun, usi ki wazah se likh paya hun

bola ke ye kisse hamari hi zindagi se joode hain
jo bhi maine likhe hain, jab kahin jaaunga to tumhen dekar jaunga
ise padhkar tumhen lagega ke main saath hun

sunkar uska mann thoda shaant hua
use apne haath se khana khilaakar mein phir se likhne laga hun

ab wo chinta mukt apne kaam mein masroof hai
ab main bedhark chain ki neend so sakta hun

Wednesday, May 6, 2015

True love


Wo chale hain mujhse yun bewajah khafa hokar
Ke jaise behta ho koi samanddar dariya hokar
Main chahoon bhi to use mana nahin sakta
Aur suna hai ke milte hain sab sachche premi juda hokar

Khudgarz


Har koi zubaan waala hai magar wo zubaan nahin rakhta
Apne andar saadgi aur doosron ke liye dua nahin rakhta
Kaat kar main rakh chuka hun apne dil ko uske kadmon mein
Magar wo be-gairat mere lahu ke bhi nishaan nahin rakhta

हर कोई ज़ुबान वाला है मगर वो ज़ुबान नहीं रखता,
अपने अंदर सादगी और दूसरों के लिए दुआ नहीं रखता,
काट कर मैं रख चुका हूँ अपने दिल को उसके कदमों में,
मगर वो बे-गैरत मेरे लहू के भी निशान नहीं रखता..!!

Kadwa Sach


Hain khush-naseeb ye bezubaan jitni bhi cheezen hain
Bolta hua abhi tak koi ek shaqs bhi mujhe begunaah nahin lagta
Wo cheezen bhi achchi hain jo bas ek hi jubaan bolti hain
Koi bhi insaan dharti par magar ek zubaan nahin rakhta

Phool se chehre hain sab ke, dekhkar achha lagta hai
bhagwaan ne banaya hai insaan, har insaan sachcha lagta hai
Zubaan khulte hi magar ye kaise toofan aate hain
Koi mujhe dushman to koi dushamn ki tarah lagta hai
yahaan shayad koi paak zubaan nahin rakhta..

Likh raha hun ye sab kyonki dekh chuka hun apne waqt mein main
baap ki daant ka darr, badon ki baaten aur nazar 
kab hua in sab ka khaatma, kyon nahin gaya waqt thehar
mujhko pata hai ke koi in sab baaton ko dil mein nahin rakhta
Wo gudd aur chane shaam ko ab koi nahin chakhta...

khatm ab shaayad andar se meri rooh ho chali hai
ye badalta hua waqt jaane kahaan le jayega
kya insaan kabhi insaan ko khayega??
Main nikalta hun tum dekhna ye sab, mera to alag hai rasta
Alvida dosto main ab is dharti par nahin basta..

Saturday, April 25, 2015

Sarhaden


Sarhadon ke paar hum duniya se lad rahe hain

aur sahadon ke andar hum aapas mein jhagad rahe hain
Jo sarhadon ke andar hai, wahi baahar hai
phir ye sarhaden kyon hain..

Sarhad paar waale ko maaro to inaam hai
andar koi kisi ko maare to ilzaam hai,
kya farak hai dono mein maut to maut hai
agar sab hamaare haath mein hai to phir bhagwaan kyon hai

Sarhadon ke paar jab milte hain to ek ho jaate hain
aur andar rahen to anek ho jaate hain
baahar jaate hain to mulk ko yaad karte hain
Waapis aate hain to videshi ho jaate hain
Hamaari soch mein itni karvaten kyon hai...

Ab to ghar ghar mein yahi tasveer hai
Door ek doosre se reh nahin sakte
saath ek doosre ka seh nahin sakte
Chhoti-chhoti baaton ka gussa karte hain
Insaan ki itni alag-alag naslen kyon hain...

khatm karta hun in chaar paktiyon ke saath: 

Ye uljhi hui duniya ki tasveer mein hum apna makaan dhoondte hain
Doosron mein khushi, apnon mein gunaah dhoondte hain
kheech dete hain faaslon ki takeeren jahaan bhi chahte hain
Hum khud patthar hain, isiliye patthron mein khuda dhoondte hain..