Thursday 18 August 2011

Hum Aazad hain??


Roz log marte hain, roz log jeete hai
hum azaad hain
corruption mein pale bade hain,corruption mein peete hain
hum azaad hain
sadak par bina license   ke nikalte hain bike pe
100 rs dete hain, hum azaad hain
pension nahin aayi, chappal gheeste hain
cut dete hain, hum aaazaad hain
munna bhai dekhte hain, bas gundda banana jaante hain
gandhigiri ko badnaam karte hain hum aazaaad nahin
har tuesday etc mandir jaate hain
parshaad chadhate hain, hum aazaad hain
business meeting mein jaate hain
ghoos dete hain business laate hain
hum aazaad hain
dry day hai, daaro dhoondte hain
black mein peete hain, hum azaad hain
munh pe mithu bante hain, peeth pe thokte hain
sochte hain ke sartaaz hain aur hum azaad hain
metter se chale ya na chale thoda zaldi hai
50 rupees faaltu le lena, hum azaad hain
saala mara-mara ke pet bharte hain, waat lag jaati hai
din bhar thak ke so jaate hain, hum aazaad hain
koi kare to bhi bura, na kare to bhi bura
kahaan se aayegi achhai, magar hum azaad hain
sab ladkyion ko ek nazar se dekhte hain
kya bolun ismen sab jaante hain, phir bhi hum azaad hain
pursuing MBA likhte hain aur job pa lete hain
client ko sapna dikhate hain aur hum aazaad hain
ticket confirm nahin hui, TT ke paas jaate hain
wahaan bhi khilaate hain magar hum aazaad hain
roz marte rehte hain jeene ki liye, phir bhi udaas hain
kya paisa hi sab cheezon ka hal hai, kya koi cheez nahin hai jo bik nahin sakti
sab jaante hain insaaniyat ki paribhasha
phir bhi anjaan hain
isiliye hum aaj shayad azaad hain
waqt sabko sikhata hai aur dikhata hai
kya humne kabhi sheeshe mein khudko dekha hai
ke kaise lagte hain hum ek jhooth ke putle
har taraf jalan hai, andhera hai
kya zameer hamara naapaank hai.....
sry...but dil pe mat le yaar...chill
sach ye hai ke ..hum apne aap se naaraaz hain

No comments:

Post a Comment