Thursday 11 August 2011

Zinda



Lekar sapne apni aankhon mein chale ujaalon ki aur
kadam zahaan pade wahaan raaste ho gaye
dil ko agar baandh kar na rakho to zinda ho tum

is shor mein bhi ek sangeet agar tum sun pao
is dariya ke paani mein agar tum tar jao
jeene ka agar shauk hai to zinda ho tum

sab darwaaze jo band hain khol do unko
sab shaks jo weham karte hain boldo unko
agar soch se aage kar paaye to zinda ho tum

saahil ko rehta hai ek tinke ka sahaara
na bano maajhi aur na bano kinara
ban jao agar samandar to zinda ho tum

No comments:

Post a Comment