Thursday 18 August 2011

Meri Subaha



Har subaha, ek nayi shuruwaat, naye khyaal aur naya chehra
raat ke daaman se churaye kuchh haseen lamhon ke saath aakar dastak deti hai
gaadiyon ki awaaz, rasoi mein bartano ka takrana, ek chai ki pyaaali ki khushboo
aankhen khulti hain us pankhe pe nazar utarti hai, saari raat jo mujhe chain se sulane ke liye chalta hai

kabhi socha nahin tha ke ye sab bezubaan cheezen bhi awaaz karti hain, tumse baat karti hain
shayaad pankha mujhe lori sunata hai, shayaad ye bartan mujhe jagane ke liye takrate hain
wo chai mere jism ko taaza karti hai, ye gaadiyan mujhe safar ke liye bulati hain
wo nal ka paani mere tan se wo lipti hui neend ki chaadar badalta hai

No comments:

Post a Comment