Monday 11 July 2011

Bachpan



Waqt aisa kabhi dekha na tha
Waqt aisa kabhi socha na tha,
Duniya bahut haseen thi tab
Waqt aisa kabhi hota na tha

Chhoti si duniya thi
Chhote se khwaab the
Chhoti-chhoti khushiyan thi
Magar aaj ki tarah nakaab na the

Hum bas jeetna seekhe the
Aur har waqt hasna seekhe the
Kaise badla ye waqt aaj sochta hoon main
Magar kar bhi kya sakta hoon kyunki ye waqt kisi ka dost nahin

Aaj dekhta hoon pichhe to mere bachpan ki laash veeran padi hai
jise main na to jala paata hoon
aur na hi dafna paata hoon.

No comments:

Post a Comment