Monday 11 July 2011

Helpless

Waqt ke haathon, main ab majboor ho chala

teri aankhon ke daayre se bahut door ho chala

Bahut saha hai tera zulm aur sitam magar
Ab ye jism khuda ke ru-ba-ru ho chala...

Beete hue waqt ko thaam nahin sakta
teri khwahishon ko shaayad main jaan nahin sakta
Isi liye chal pada hoon khuda ke ghar
Jaate-jaate bhi magar teri yaadon ka silsila khoob chala
Waqt ke haathon, main ab majboor ho chala

Tu naaraz mat hona mujhe yun haara hua dekhkar
Tera deedaar main karta tha chand ka nazaara dekhkar
Tere chehre se us chand ka ishara khoob chala
Waqt ke haathon, main ab majboor ho chala

Mujhe ranj nahin hai marne ka main zinda hoon
Tere khayaalon ke aasmaan ka main parindda hoon
Tujhe saath lekar jo kabhi ud na saka
Aaj kashti nahin doobi hai magar wo kinara doob chala
Waqt ke haathon main ab mazboor ho chala...

No comments:

Post a Comment