Monday 11 July 2011

Message to Ghalib


kya kahenge gaalib usko jo saans atki hai uski umeed mein
kya ise sulagne doon ya tham jaane doon main

gehra hai ye sanson ka rishta bhi gaalib
jise na naam milta hai na pehchaan milti hai
tu hi bata ye jo dehak raha hai mere seene mein wo raag
ise gaaun ya ras jaane doon main

aasman mein aaj bijli hai barsaat shayad kam hai
unka bhi haal dekho bas garaz hai baras kam hai
tu bata is rishte main agar karvahat hai
to kya use badh jaane dun main

ehsaas karoon to kho deta hoon khud ko
ehsaas na karoon to aankhen namm hain
wo koi hai lagta hai uske peeche mujhe jo pehchanta hai
usi ka khel hai ye sab, kya use nikal jaane doon main

ye ek alag sa sauroor hai mujhe jise main baant nahin sakta
ise byaan nahin karta aur kar bhi nahin sakta
jisne mujhe peena sikha diya
use kaise hosh mein aa jaane doon main

ab tu bhi pee le gaalib shayari meri sehan karni padegi
kabhi saala is paar to kabhi us paar hai
tune hi to silsila shuru kiya tha shayari ka
ab bol ke haara tu warna tujhe bhi kaise so jaane doon main

No comments:

Post a Comment